Khol Du

Khol du tujhe
Astitva badalna chaahe
Kya kiya hai yeh inhone?
Kaid inn hasraton mein

Khol du tujhe
Ab waqt badalna chaahe
Kya kiya hai yeh inhone?

Kaid iss tashtare mein
Main khol du tujhe
Bewaqt satya dikh jaye

Ashaant
Aseemit
Adhik
Chakrit
Bodhit
Krodhit
Sapekesh
Safed
Abhedya

Kaid iss bulbule mein
Main phod du tujhe

Main khol du tujhe
Main khol du tujhe

Kaid iss bulbule mein
Main phod du tujhe
Main phod du tujhe
Main khol du tujhe
Main khol du tujhe

Sabko lagta hai sab khaas hain
Par ye asal vishwaas hai
Apne jaise har gali mein pachaas hain
Kyu iss baat se tu hataash hai?
Haan kaash main har ek kush mein
Kash makash mein jalan bhare aitbaar betahaash hain
Ye jo samaaj hai, bas ek zinda laash hai
Mizaaj hai, haan bete mirage hai
Andhvishwaas se bhara dhundhla ***** hai
Sachhe dil se hum jo bhi maanein, bas bete wahi hum aaj hain

Ye zindagi nahi, bas shatranz ki chaalein chal
Ye aankhein kholo, failao, bikhrao apne kaale raaz, aye
Zaalim dard na baanto, jao wapas jidhar se aaye
Bohot laatein fatke humne khaaye
Aise kaise peeche hat jayein?
Buland khade hain khule dimaag se sochein
Sunein sar ke andar ki awaazein, aye
Ye mann ke andar ki jung hai
Kabhi padha Carl Jung hai toh pata hoga
Nahi to bete abhi tu bohot young hai

Tumhaare samajh ke bahar hai, aye
Ye soch ki war hai, aye
Zindagi karwat badal rahi hai need se
Matlab ye thodi na peg banao tum saare neat bey
Na samjho mere iraade galat
Bas chaahu uss haalat mein na tum vaar karo mere peeth pe
Waise to ho tum sweet se ab zyada gyan na main chodu
Main nahi hoon Nietzsche
Par nauseekhiya na samjho anginat parchay mere jeeb pe
Shabdkosh khayalon ke mujhko kheechte
Kuch toh hain theek se, par baaki avanchit hain
Inhi anubhavon se toh hum jeena seekhte

Har taraf ye kya khit pit hai
Ghar waalon ka alag chik chik hai
Yaad hai na Hoffman khud hi bola tha pehchaan gaya hoon cheez ko
Ab na mujhko iski zarurat hai
Na jaanu maut kagaz pe likhi gayi
Ya kaagaz se maut hui meri theek se
Bhrahm toote poore brahmhaand ka, haan
Ahankaar mere mann ke andar ab na rahein dheet se
Samudra mein ek boond paani sa main ghul gaya
Mera sarr ghoom gaya
Mera mann poori tarah se dhul gaya
Main khul gaya, aye

Sabke vichaar hain bhare sirf khot se
Agar main Jinnah toh beta tu Godse
Andhi teri kranti, adhuri teri soch hai
Bas udhar tak nazaara jidhar tere baap ke haath pohchte
Launde zehreele naag se
Nafrat ki aag ugalte, khoon khaulte
Phirbhi hum bilkul chup beta muh bhi na kholte

Ho chuka haan gumshuda
Tu kho chuka hai apne aap ko iss naarangi bheed mein
Na bhedchaal chal tu samajh apne karm
Utha kalam aur humse maafi maang le
Khair
Tumse oonche mere hazaron khwaab hain
Kaam khatam toh seedha lodu pehle aap the
Taza vishesh yah dekh bete asal Goat pesh yahan
Jitna jo bhi likha sab direct quote hai
Kehte insaaf mila judicial court mein
flow ka na hi koi takkar jaise Mcgregor hai extreme sport mein

Caution hai, aye
Precaution hai, haan
Extreme stimulation
What do you have to say son
Violence is never the answer its education
Haan haan main cultured brown boy
Agar kitaabon se baat karte goli khaun toh thoku laal salaam shaan se
Mere peeche jo bhi gine chune khade mera imaam se guzaarish
Vo hain tera kar dein jeena haraam uss hadd ke paar
Jab tu khud gidgida ke aye khuda ke dwar
Aur maange apni khud ki maut haan
Samjha kya?

You can do that
Yeah, i'll do it
No worries
Just take me a while to get in the loop thingy

What is wrong with me

Chhipkali
Kahan tu chali?
Mere bathroom mein se
Ab tu hi ek dost
Aur bathroom hai khamosh
And i'm bathing alone

Chhipkali
Kahan tu chali
Mere bathroom mein se
Ab tu hi ek dost
Aur bathroom hai khamosh
And i'm bathing alone

Chhipkali i miss you



Credits
Writer(s): Araa Jakta
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link