Dopahar

Tumhe yaad hai jab pehli baar maine tumhe kuch padhke sunaya tha
Me tumhe vahi kavita baar baar padhke sunaunga
Har bar vahi 15 bahane banunga
Apne depression me in jeena, tumhe vahi 10 cheeze keh kar bataunga
Main apni hoodies mein comfortable hota hoon, me kabhi kabhi market places me rota Hoon
Apne har dost ko vahi 5 baate bataunga
Jaise fuck, main aaj kitne dino baad nahaunga
Tumpe random cheezo ko blame kar tumse hi ladd jaunga
Main baaz nahi aaunga, Na main baaz nahi aaunga
Aaj bada ganda din hai keh kar tumpe chillaunga
Tumhari vahi 4 favorite cheeze keh kar tum ko manaunga
Tum mujhe ek baar batao mein tumhe kaha chu oon
Toh har baar vahin chuu ke main chaahunga
Mujhe dar hai main tumhare liye boring hojaunga
vahi 10 ladko ka naam le kar sataunga
Teri tasweeren banaunga
Ehsaan jataunga
Joh bhi main kahunga voh ek dialogue hai, rehearsed
Bade hoke khudh phatne laga hoon I have become the crack head and I'm gonna burst
Apni vahi 7 achievements keh kar khud ko chadhaunga
Main baaz nahi aaunga, na main baaz aaunga
Mujhe apne dosto aur premi chodho, apne teachero se bhi aisa pyaar hai
Aaj mohodya ki class nahi jaunga kyuki banda beemar hai
Anxeity ho rahi hai soch ke tum jitna upar soche mere liye use neeche main aaunga
Sorry main kal sota raha main rota raha tumne joh grah karya diya maine voh na kiya
Abh dar hai mujhe to class nahi jana hai
Vahi 5 linein hain, mujhe vahi bahana banana hai
Mein ek class ka arjun, tum har class ke drona
Kya ki farak padta hai main har class mein hoon na
Mujhe dard mohoobat kaafi de
Tumhe vade karke jab mere jaisa koi na insaafi de
Toh ho sake toh usse maafi de
Aur agle hafte main class nahi aaunga
Mein baaz nahi aaunga, na main baaz nahi aaunga
Mujhe sach mein mohobbat se dar sa lage
Shayad mein bolu jaise tumhe arsa lage
Meri baatein pyari na jab tak charsa lage
Aur meri baatein tumhe harsi lagein
Mujhe pasand krna thoda kam sa hua
Sar pe chadhte dhue se thoda ghum sa hua
Tu mujhse nafrat karo usse behtar main door reh jaunga
Main baaz nahi aaunga, na main baz nahi aaunga
Mere dil mein tumhari maafi ki bheekh hai
Main apne kamron mein band raha tum chinta mein sochte voh theek hai
page pe jaha kaatu voh cheekh hai
Bate suni par na miki koi seekh hai
Mujhe apne har premi se dar hai
Apne har rakshak se ladle
pankhe se tanga mera sar hai
Apne ghar valo se na mil lun kitchen mein isliye nishachar hai
Bohot dar hai
Itna dar hai ki apni ma se dar lagta hai
Apne baap se dar lagta hai
Apni chah se dar lagta hai
Apne khwab se dar lagta hai
Itna dar hai ki kamra hamesha band
Rap gaane rok, khudse poochu hai kis baat ka ghamand
Beta tumne lund nahi ukada hai
Apne har sapne ko maara hai
Tum socho yeh phone kyu nahi utha raha hai
Door
Aur door
Aur door
Bhai kahan ye vyakti ja raha hai?
Apna jabda jakad ke apne hothon ko chabaunga
Main baaz nahi aaunga, na main baaz nahi aaunga
Mujhe meri har galti yaad hai
Tujhe bhi hogi
Ehsaas mera haath kaatne ke baad hai ki dard tujhe bhi hogi
Aur mujhe yaad rahega meine tujhe dard diya
Mein tujhe aur dard doon mujhe dar lagta hai
Vahi 5 bahane koi kaise maaf kar sakta hai
Tujhe rulaya yeh soch mera sar thakta hai
Main bt, jaise koi bura sapna de
Main duniya ke liye tayyar nahi
Mujhe dafna de
Main tujhse dar ke chup jaun toh mujhe jaane de main yeh hi chaahunga
Main bazz nahi aaunga, na main baaz nahi aaunga
Akele phir murdo si aadat ho jaye
Phir bistar se uthna bhi na ho paye
Sar pe sawal na ruke aur shareer jawab de jaye
Har cheez se teri yaad aye
Har ghante hona padta hai high
Phir dil tujhko awaaz lagaye
Haath tujhko call milayein
Blocked hoon, vodafone waale bhaiya mujhko yaad dilayein
Phir vodafone waale bhaiya mujhe kaafi satayein
Blocked hoon, samajh hone ke baad bhi tujhe baar baar call milaunga
Main baaz nahi aaunga
Na mein baaz nahi aaunga
Tu bhi wapis call milayegi
Tu baaz nahi ayegi
Baki logo ki kahani sunayegi
Mujhko tu jalaegi
Main tujhko thoda hasaunga
Agar sunegi toh ek kahani sunaunga
Nahi keh kar kisi aur ka character sketch batati hai
Itni beizzati kar bhi tu wapis nahi aati hai
Main 5 din bheek maangunga
Aur 6te din kisi 4thi ke saath jaake sojaunga
Main baaz nahi aaunga, na main baaz nahi aaunga
Itna door khechenge khudhko phir wapis nahi aa payenge
Itni raat ghabrake soye
Aaj aank mein aansu liye sojayenge
Tu wapis aake phir bade chutkule sunaati hai
Pyar mein girati hai
Main sochu tu wapis aana chahti hai
Tu wapis ayi toh voh 4thi ki kahani tujhe kis muh se bata paunga
Phir call ki bheekh maangta reh jaunga
Main tujhse kuch nahi chhupata par vo baat zarur dabaunga
Main baaz nahi aaunga, na main baaz nahi aaunga
Tujhe laga main tere bare mein kitna hi likh paunga
Main baaz nahi aaunga main baaz nahi aaunga
Copy khatam karte ant pass jab aaunga
Tab bhi baaki teri tareefein reh jayengi
Baaki teri tareefein agle panne ko sunaunga
Tere pairon se shuru panaa tere pairon pe khatam
Agle panne pe jab jaane ke liye
Jab page main paltaun
Toh nah panne bache na kalam
Toh ab yahan se uth ke copy akele kareedne kaise hi ja paunga
Mein baz nahi aaunga, main baz nahi aaunga
Tum sabse mujhko dar hai kaafi
Phir bhi apne saare raaz bataunga
Main baz nahi aaunga
Main baz nahi aaunga
Kamre ke sare gand pe aag lagage Tartovsky influence chillaunga
Main baaz nahi aaunga mein bazz nahi aaunga

Hone do dopahar
Ab kiska intazaar hai
Hone do dopahar
Ab kiska intazaar hai
Hone ka intazaar hai
Hone ka intazaar hai

Har shaam ki tarah
Aaj bhi
Kho jayenge
Bachpan ke din
Gungunaenge
Gungunaenge
Hone do dopahar
Ab kiska intazaar hai
Ab kiska intazaar hai
Hone ka intazaar hai
Hai



Credits
Writer(s): Aaryansh Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link