Kyu

Umeed thi mujhe mein milunga jab kabhi
Ab kabhi nahi milna ruh hai tadap rahi
Pyaar ka nakab piche nafrat rahi
Lat rahi teri meri choice bhi galat rahi
Bhul gyi tu maine kia tha bharosa
Dil diya tujhe tune todke parosa
Aur phir kahe sacha pyaar nahi hota
Mein akela ya sabke sath yeh hota
Tujhe lagta mujhe kya hi farak padega
Kabhi aa aur puch kab tak dard rahega
Meelo ke faasle mein kardeta kam
Par dilo ki yeh duri hame kar rahi khatam
Har dam karu yaad hui aakhe meri num
Naam bhi tera ab deta hai zakham
Kya kiya tune ek baar socha bhi nahi
Dil toh krta tha pyaar usne roka bhi nhi
Mujhe aaj bhi hai yaad tune pakda tha kashkar
Nazre milaye aur dekha tha hashkar
Agar tha drama toh phir bas kar
Thak chuka hu mein itna bhatak kar
Aaj pata chala kisse kehte zinda lash
Sabse ho aas par koi na ho pass
Tab lagta hai maut mil jaye kash
Kyuki jeena tune kardiya bakwas
Ab doob chuka hu mein iss gum mein
Bata mujhe kya kami hai hum mein
Tujpe nigah maine dekha na aage
Kyu gyi dur mujhe apna banake
Khudko tune pura karliya change
Ek dil todke dusara arrange
Issi tarah end hona tha kahani ka
Hamesha chup kabhi kuch kaha nhi tha

Kyu
Kiya tune yeh sab jab tu thi meri sab ab ho gyi hai alag hai Kyu
Iss tarah se chali gyi hai wapis yahase mein dhundu kaha pe kyu
Kyu
Kyu
Tu milne na aayi dubara kyu milne ko raazi nahi
Tu hi bata de mujhe ab kyu sahu teri narazgi
Maan liya maine bhi yeh mein galat tu hi sahi thi

Mein galat tu hi sahi thi

Khatam ho chuka yeh afsana
Ban chuka hu mein ab anjana
Mein samne gaya tune nahi pehchana
Tujhe bhul jau par dil nahi mana
Yaad aaye toh mujhe bhi batana
Kaafi muskil tere bina reh pana
Haal bura par kuch bhi kahana
Pyaar ki misaal dega zamana

Kyu
Kiya tune yeh sab jab tu thi meri sab ab ho gyi hai alag hai Kyu
Iss tarah se chali gyi hai wapis yahase mein dhundu kaha pe kyu



Credits
Writer(s): Nitish Jurel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link