Haseen

Maine socha nahi koi hogi itni haseen
Peero ke tale meri khiski zameen
Tu mujko lagi hai boht behtareen
Kiya mahool apaatkaleen
Mere wade nahi tutne Tu kar yeh yakeen
Kyuki waade nahi hai mere made in china
Tujhe pura adhikaar Tu hai +18
Abaadi ki fikar ya banaye ek team
Pasand nahi koi aaye tere mere between
Teri khabar likhte hai magazine
Kuch galat nahi kehne mein afreen
Sir par asar tera jaise afeem
Kar dil ka ilaj chal banja hakeem
Pyaar hota wahi jo ki hota aseem
Pass mere reh kyuki Tu hai kaafi keem
Ti tu mujko mili ameen ameen

Ab jaldi bata mujhe apna pata
Mujhe aana padega jo hui tu khafa
Tujhe dekha mujhe kuch kuch hone laga
Intzaar mat kar mujhe de de panah
Tu kuch bhi kar chahe kar tu gunah
Har din hota hai mera pyaar dugnah
Tere aane ke baad ab koi dukh na
Mera ek kaam tujhe mehfooz rakhna
Tujhe mujshe milaya kuch wajah toh hogi
Mein hu betaab kis wakt kahogi
Nahi kar sakta ab aur sabar mein
Chal mere sath kaafi jagah mere ghar mein
Yaad karta pure din bhar mein
Maaf kar kuch galat kaha agar mein
Tujshe tha pehle bekhabar mein
Pyaar rahega chahe dafan kabar mein

Tere liye banwaya maine ek kila
Aur woh bhi hai char manzila
Wahan ek kami nahi teri jaisi mahila
Issliye teri talash mein tha nikla
Agar koi dikkat toh mujko bata
Mere pass hai baby har suvidha
Toh mat kar zyada tu soch vichaar
Chal mere sath bahar khadi meri car
Zara upper dekh aur nazre mila
Kya tujhe mere jaisa kabhi koi mila
Zulfe jo aage kari dikhti kamal
Aur kaisa hai tera haal chaal
Rakh lunga mein tera pura khayal
Hath de aur mat kar koi sawal
Mujhe karna hai biyah tujhse tatkaal
Nahi karna wait ab aur ek saal



Credits
Writer(s): Nitish Jurel
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link