Ghosts In Me - INTRO

Aaine dikhaate ki khada mai akela to aawaazein aati kyu 6 ki?
Khud ko jab kal raat dekha uss aaine mein, laga ki koi mujhe dekh rahi
Nigaahein kisiki hai har raat ghoorti
Nazron ki lafzon se baatein wo puchti
Khidki ke pardon mein ekdum si hal-chal
Ek shan mein kisi ne aankhein dabonch li
Aawaazein ye mann ki wo mann par hi haavi
Sochu mai roz, mujhe kya cheez duba rhi
Aate har mod pe hain 6 alag khayaal
Sunke sabki baatein li hai kabhi sahi raah nhi
Ghosts in me, saare andar se jaan lein
Baatein itni andar ki ab panno pe haath kaanpte
Kalam bhi naa chale, lage har varn galat
Jee raha mai kisi tarah, sir pe kafan baandh ke
Ek darpok, dare logo ke vichaaron se
Dare iss baat se, kya soche uske baare
Baje 12 har waqth chehre pe aur daanton tale ungliyaan
Social life dead, chahta milna naa insaano se
Ek mein hai sanak, karna sabka use qatal
Pehle mile jitne kapat, ab bin baat lage bhanak
Insaan ab na dost, use saaron par hai shak ab
Khaayi usne kasam, sabki khodega ab kabar
Karni wahi haalat, jo kiya thaa logon ne
Todega ye haddi, wo jawaab mochhon ke
Badle ki ye aag roz badhe seene mein
Khoon unka lena, jo lete paseene the
Agle ki aankho mein dikhta hai lobh
Tapakti laar, darshaati hai sach
Dil mein badduwaayein, unn logon k liye
Jo shiddat se khade the saath uske kal
Dusron ko dekha jo chadhte hue
To mann mein daudti hai eershiya ki leher
Khud ki haar use lagti hai jhooti
Kuch sach nai, sab hai mann ka ek vehem
Ungli uthti hai agle ki pehli
Par khud ke girebaan mein jhaanka naa aaj tak
Har waqth dikhe, dusron mein khaamiyan
Jab khud pe aaye baat, to kar le wo aankh band
Nazro mein uske, saare hain neech
Kyunki dekhe puri duniya wo ek hi nazariye se
Khush apne aap se, naa karna aur theek
Salaahein naa kaam ki, wo bewajah ki tarqeebein
Agle mein khauf buna pada apne haar ka
Sabse zyada darr, use apne paraast ka
"Jokhim uthaana" sirf kaalpanik baatein
Chale kismat bharose use khudpe vishwaas naa
Aaj tak chipa gaya mehnat ke naam se
Kaha apne haar ko, kismat ka daan hai
Khaayi jab thokarein aur gira jab farsh pe
Naa utha wo dobaara, kaha "Rabb ko swikaar yeh"
Roz raat bistar mein sunta inn sab ko
tabhi ataa-pataa naa lage neend ka
Jab panne ho aage, siyaahi ye saath de,
tab roz dikhe aage meri jeet haan
Inn bhooton ki baatein thi rakkhi yaad,
bhare panne laakh, aaya dil ko chain
Khayaal ye saare hain mann ki awaaz,
jaane kab bana diye itne geet saath?



Credits
Writer(s): Knight Mayor
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link