Raastey

Mein dhoondta hun raastey
Mein puchta khuda se
Kiun rakhi tu ne mere andar
Itni buri aadatein
Mein likhraha hun safay par
Aansu girtey aankh se
Log hain jalate mujhay
Mein nahi jalta aag se

Mein dekhlun koi khuwaab agar
To log jalke raakh ye
Mein haasil karlun manzil jab
To log dete daad ye
Mein bolta nai logon se
Dill me jese raaz hain
Par aaj bolun beat pe
Jese khuli kitaab mein

Mein khuli kitaab hun,
Sabse khafa mein, sabse naraaz hun
Apne saath rehkar khudse hi judaa hun
Ma'an ye samajhti khudke pairo'n pe khara hun
Jabke unko bhi pata hai unke kadmo'n mein gira hun

Mein dhoondta hun raastey
Koi to jawaab de
Kiun rehta hun akela jabke apne saarey saath hain
Mein likhne beth'ta jab bhi gaaney lafz kam parjaate hain
Kiun dete itni nafrat tere ghar ka thori khaate hain

Mein dhoondta hun raastey



Credits
Writer(s): Ahmad Athar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link