Lost

Hmm

Mehfilein teri zikar kiun phir mera
Raastey tere, safar kiun phir mera
Mein waastey tere, kia kuch na karta
Ye raaz hain mere, mein duniya se larrta

Nikal parey jo tum apni hi raah pe
Tere jaatey kadmon ki dill me sunayi de ahatein,
Ab mein likhta hun tere hi baarey
Ab hum unchay hain jese sitaarey
Ham aagey hain chalte khuda ke saharey,
Wo hi sambhaaley

Ab mein karta gillay
Ab mein dhoondun tujhay

Kyun rakhi tu ne mujhse ye doori
Karni thi baatein hum ne zaroori
Kyun rehgayi kahaani adhoori
Samajh me naa ati teri majboori

Likhta afsanay jo rakh ke sarhaney parhti hai tu
Mein likhta hun gaaney jo khud ko sunaake Phir roti hai tu

Bohot dill ko kushada karliya kya?
Zamaney bhar se waada karliya kya?
To kya sach much, Judaayi mujh se karli?
To khud apne ko aadha karlia kya?

Hunar mandi se apne dill ka safa
Mere jaan tumne saada karlia kya?

Mehfilein teri zikar kiun phir mera
Raastey tere, safar kiun phir mera
Mein waastey tere, kia kuch na Karta
Ye raaz hain mere, mein duniya se larrta



Credits
Writer(s): Ahmad Athar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link