Dharta Q Hai

Dharta q hai, tu hi to khudki aarzu hai
Behtareen tu hai, jab tu khud k rubaru hai
Mehekaye puri duniya haa tu wo khushbu hai
Himmat rakh sab hoga sahi fariyad me tu hi tu hai

Dharta q hai, halat pe karna bus kaabu hai
Mehnat teri hogi baaki rehmat ka jaadu hai
Dharta q hai, banna bekhauf uh hai
Dharta q hai, dharta q hai

Janti rooh hai mein kehta sach hu jaise shayar
Ghar tha chalana tab tha deals pe hua hire
Hazaaro din ki jo sikh wo baate karta nahi mein shayad
Duniya ki nazar me mujhko banna nahi tha kayar

Manzil me mazaa nahi jitni raahe chal jaane me
Gaane nahi zindagi ye zindagi hai gaane me
Kon janta kitna waqt lage izzat banane me
Saare jaante bus kuch pal lage izzat gawane me

Rishte rehte sahi salaamat pyar se smjhane me
Galati hoti sabse chod jaane aanjane me
Nafrat nahi chahta to naa jaana tu maikhane me
Rishte sapne hoge dur tu jiyega paikhane me

Duniya gira shaitano me, khud ko abh pehchan to le
Rab nahi aata ghar uski izzat us mehmaan ko de
Rab jab dega saat zakaat kar, na gurur kar
Rab ke jaana ghar, icha aas mann se chur kar

Saare lage daud me to aage badh mat daud kar
Paana chahe khushiya zara apno pe to gaur kar
Kismat badalna hai to dimag lagaa ke kaam kar
Kalaa nahi chalta chalta himmat hai is daur par

Kiske jaisa koi nahi, bus ye putle hubahu hai
Sabka ban sahara yahi apni guftagu hai
Saaf ho dil hamara, fir milte luft uh hai
Maa-baap hai saatme tujhko kiski justaju hai

Dharta q hai, tu hi to khudki aarzu hai
Behtareen tu hai, jab tu khud k rubaru hai
Mehekaye puri duniya ha tu wo khushbu hai
Himaat rakh sab hoga sahi fariyad me tu hi tu hai

To Dharta q hai, halat pe karna bus kaabu hai
Mehnat teri hogi baaki rehmat ka jaadu hai
Dharta q hai, banna bekhauf uh hai
Dharta q hai, dharta q hai

Dharta q hai, dharta q hai
Dharta q hai, dharta q hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link