Toh Kya Badla? (Intro)

Takiya kalaam nahi mere paas
Sirf Takiye ke paas kalam hai mere
Roz maut se darta hu Par shaayad
Ye sirf jeene ka bharam hai mere
Karam ko mere mujhe karma se bachaana hai
Khudke saare papon ko mujhe shabdon se mitaana hai
Ye toh bahaana hai ki mein sirf khudke liye likhta hu
Bas darr iss baat ka hai ki koi sunne waale nahi hai

Toh kya badla?

Mein

Gadi kahaaniyaan sar mein hai chhed
Naa ruke hai kabhi kaisi ye khed
Yaa karoge bhed, yaa banoge bhed
Aukaad se zyaada dikhega toh raid
Pehle bas mein aur ye booth
Haan sunenge log mein bana saboot!
Mein Bambai ka ladka par Delhi nai door
Haan khudko ilaakon mein baatu hi kyu?
Ye mere sawaal
Mere javaab
Meri kahaaniya
Mere hai khwaab!
Ye mere hai log
Jo dhoondhenge mujhe par paayenge khud ko aise ye bol, toh sunn



Credits
Writer(s): Rishi Thakker, Yashraj Mehra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link