Aatma (Interlude)

"Kya mein yaad rahunga?"
Ab aakhri panna kya hai? Mrityu?
Ye bhi humaare haathmein nahi hai
Keval beech ka panna humaare haath mei hai
Maut!
"Bachpan mein beech raat ko jaagke
Poora andhera dekhke aankhon mein maut ka khauf"
Panchmahabhooton se bana ye deh, ye chola
Agni mein jalkar unhi Panchmahabhooton mein bhasm ho jaata hai
Sama jaata hai, mil jaata hai, bheen ho jaata hai
Par jo maalik hai
"Kya mein kaafi kar paaunga"
Jise aap aur mein aatma ke naam se jaante hai, aatma
Ye aatma kabhi mrityu ko praapt nahi hoti!
Duniya iss pavitra aatma ko kaant nahi sakta, "nahi"
Agni kabhi aatma ko jala nahi sakti hai
"Nahi"
Hava isse kabhi sukha nahi sakta
"Nahi"
Jal kabhi aatma ko gala nahi sakta
"Nahi"
Aatma ajar hai
"Kya mein kaafi tha?"
Aatma amar hai, Naa marne waali hai
"Kya mein kaafi tha?"



Credits
Writer(s): Yashraj Mehra, Akash Shravan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link