3:16
Raat ke 3 bajke 16 minute, 16 saal ki umar se dikhta waqt yehi
Saaransh mera prashna chinha
Kaarkhana ke samay lagta tha sab sahi
Par ab na jaa sakta uss waqt mai
Kheech le aau woh waqt yahi
Jawaani lagti khokhli, bachpana lagta sach nahi
Kyuki bachpan na jeeya sahi se, tha mai kamzor dil, sharif sa
10 kadam chalne pe paeron ki nas ne khicha
Bachpan se dard hai seekha
Logon ko marte dekha aur unko khona seekha
Na jeb mai khota sikka aur na khot rakh ke jeeta
Kalam pakad na paata fir bhi likhta tha kavita aur kahaniya
Unn lamho ne sambhal liya
Thhe haath dukhte bohot fir bhi likhta apni Gita
Bina aaine ko dekh khudko jaanu
Bhula na woh raatein jab mai maut apni chahu
Bhula na woh din jab sab haste mujhpe khulke
Ab mai paas se jo guzru unke hosh le udd jaau
Sangeet pe hai Sky, aakhon mai baadal baras aaye
Ek waqt tha, papa ne apni jaan deni chaahi
Mai zindagi ki roshni mai unki hi parchai
Sach hai sahi
Inn kagaazon mai
Hum hai yahi
Likhawaton mai
Khush hai nahi
Aise raasto pe
Par beh rahi, beh rahi, beh rahi main
Palat ta hu kitaab apni, mai bohot khushnaseeb hu
Maine dekhi itni baar maut, ab mai khauf se tehzeeb lu
Apne tareeko se na aata baaz, kitni baar tha mai laparwah
Zimmedari ka saafa baandh, chhodu piche ateet ko
Hamesha chhota ghar tha, par na chhote thhe sapne
Hum na lautenge socha, ab chalte hum apneepath pe
Mujhpe na koi mukadme, par jo bhi kaatte thhe raste
Yeh na padh sake insaan, kya samjhenge partein
Samajh aaya ki jeevan filmo se zyada dilchasp hai
Tabse ban gaye kirdaar har din khudke dil bharne
Apne sukh mai kin-kin ne tha bhula woh ehsaas
Par jab dukh aata bharke tab atak jaati hai saans
Lagti ladne, aakhon se bana rahi hai jharne
Seene mai hai dhua, bante chhalle, bharte panne
Waqt tham sa gaya jabse hum bhi lag gaye badhne
Ho karzein sarpe bhaari tab na din guzarte padhke
Kal thhe ladke, aaj hum aadmi, iss baat se niraash hi
Ummeed karta aane waale din na mere aakhri
Har ek saans, har ek shabd hai jawabdaari
Chaandni hai raat, humein aaj kahi bhaagna nahi
3:16. GRAV

Credits
Writer(s): Akshay Poojary, Maanuni Desai
Lyrics powered by www.musixmatch.com
Link
Other Album Tracks
© 2024 All rights reserved. Rockol.com S.r.l. Website image policy
Rockol
- Rockol only uses images and photos made available for promotional purposes (“for press use”) by record companies, artist managements and p.r. agencies.
- Said images are used to exert a right to report and a finality of the criticism, in a degraded mode compliant to copyright laws, and exclusively inclosed in our own informative content.
- Only non-exclusive images addressed to newspaper use and, in general, copyright-free are accepted.
- Live photos are published when licensed by photographers whose copyright is quoted.
- Rockol is available to pay the right holder a fair fee should a published image’s author be unknown at the time of publishing.
Feedback
Please immediately report the presence of images possibly not compliant with the above cases so as to quickly verify an improper use: where confirmed, we would immediately proceed to their removal.