FRAUDIYE

Khol khol aankhain khol khol
Bahir hota kuch, kartay ghar par thor phor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor

Dil main kissi kay liyay jaga nai hai
Apni baradari kay bahar samjhtay kissi ko apna nai hain
Teeli na lagaaon tho aata maza nai hai
Awaam ko jo bimari uski milni dawa nai hai
Betuki cheezon par maar kutai
Shaadi ka lamba scene, phir lambi judai
Ashar dekho, bahu nay meri saari nai sukhayi
In cheezon say hee bhari TV dramon kee likhayi
Contagious beats, pay spit karta bohat sick
Faaslay rakhain sab, jab controversial topics
Deep pockets say rakhtay brands sabko hostage
Launday saaray game main Nate Jacobs jaisay toxic
Bakray saaray yahan bheriyon kee khal pehnay
Bheriyay saaray yahan bakron kee
Kuchal daalain tujhay qadmon kay neechay jab koi chaal chalain
Parwa yahan kis ko teray sapnon kee

Khol khol aankhain khol khol
Bahir hota kuch, kartay ghar par thor phor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Khol khol aankhain khol khol
Bahir hota kuch, kartay ghar par thor phor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor

Khud to duniya kay rangon me ghol hum
Phir bhi dhoondte hain doosron main jhol hum
Khud kay hain chupate, sab kay khol dete pol
Khud ki hi wakalat, khud ko judge ka diye role hum
Insan mehnati nahi, mehnati tho khote hain ye
Twitter pe hugne wale, angrezon kay pote hain
Jinse li thi azadi, ab unhi kay mohtaj hum
Ye saray doghle vote na milne par hee rote hain
Ye saray to apni larai me gum hain
Awam bhi to kutte ki wo teri dum he
Tiyathar salon me na badli hai, na badlegi
Mustaqbil kay shaheen nashay ki sawari me tun hain
Naat kay naam pe milad me DJ bajrahe kyun
Naap le naap le zanjeer gunah kay apne tu
Tabhi tho karna judge, jab daman tera pak saaf ho
Ye byalees saal kay logo ki aqal bacho wali dikh rahi kyun
Chaap chaap paisa chaap warna naam nahi hoga
Paisa phenk tamasha dekh warna tu line me hoga
Gucci bag Nike shoes, aise level up hoga
Duniya rangeen, dikhti haseen, mile anjaam me dhoka

Khol khol aankhain khol khol
Bahir hota kuch, kartay ghar par thor phor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Khol khol aankhain khol khol
Bahir hota kuch, kartay ghar par thor phor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor
Fraudiye saray khudi cheekhain chor chor



Credits
Writer(s): Momin Iqbal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link