PEHCHAN

Kabhi thay hum is watan kay pasban
Par likh dali humnay bhi aik zulm ki daastan
Rishtay katna, ya jootay chatna
Jab khanjar sabki peeth main tho dard kya bantna
Sar par sawar din raat yahan shaitan hai
Murda ye awam, Bibighar ka maidan hai
Chobis ghantay khuli yahan eeman kee dukaan hai
Insaniyat bech kar hee tho banta yahan haivaan hai
Dushman banay khud kay hum dheeray dheeray
Jeet main bhi haar tho kis baat ka jeevay jeevay
EIC jaisay oopar say ye meethay meethay
Qalam kay zariye inhain ilm kay lagata teekay
Ghulami ka nizaam aaj bhi qayam hai
Afsos kay aaj bhi jata paisa bahir hai
Afsos kay Faiz jaisa shayar aaj ghayab hai
Ehtajaj par aaj bhi General Dyer ka fire hai

Banay phir say ghulam ye
Kehtay zubaan ko lagam day, inko such chubta hai
Kehtay oopar wala betha sab sunta hai
Ghuroor par itna jaisay inkay liyay waqt rukta hai
Kab zindagi khatam, kon qabar main utarta hai
Karachi kay beech main jaisay target thukta hai
Maazi main gora, aaj har leader phut tha hai
In Faironon kay samnay IQBAL kabhi na jhukta hai
Kyunkay aata sab par azaab hai
Jallianwala humain aaj bhi tho yaad hai
Bengal ka kehat humain aaj bhi tho yaad hai
Kal ka ghadar ban kar betha aaj nawab hai
Main jaisay Kalam Azad in Bal Thakeron kay beech main
Mangal Pandey in Mir Jafaron kay beech main
Wo gaye loot kar, aur hum kya seekhtay
Apnon kay darmyan hum aaj tak lakeerain kheenchtay



Credits
Writer(s): Momin Iqbal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link