Protect Yourself From Evil Eye

Kai gharo mein aapne dekha hoga
Ya shaayad aapke hi ke ghar mein hota hoga
Koi chhota sa bacha, nanha sa baalak rota hai
To Dadi maa kehti hai, "Are, iski nazar utaro"

Nazar kyun utaarte hai?
Aaiye, jaante hai is video mein

Namaste, dosto
Mera naam hai Rishi Nanda

Humare ghar mein bhi ye pratha hai
Jab hi koi chhota sa baalak rota hai
Maa usse chup karane ki koshish karti hai
Lori sunati hai, sulane ki koshish karti hai
Usse lekar tehelti hai, usse baate karti hai

Maa apne prem mein us bache ko puchti hai
"Kya hua? Batao na, kya hua?"
Are woh nanha sa baalak hai, chhe-aath mahine ka, das mahine ka
Kaise batayega, agar vo batana bhi chahta hai
Vo bacha sirf jor-jor se rota hai
Maa ho sakta hai koi Doctor ko puche, ki kya ho gya
Kabhi koi medicine bhi dede, kya ho gya hai
Prantu fir bhi woh bacha chup nahi hota hai

Aur usmein se ek bade buzurg keh denge
"Ye sab chhodo, bache ki nazar utaro, ise nazar lag gayi hai "
Ab ye jo pratha hai "Nazar lag gayi hai, nazar utaaro"
Ye to andhvishvaas pe bhi ja sakta hai
Prantu aap jaante hai iske peeche kuch kaaran hai
Un kaarno ko samjhne ki koshish karte hain

Pehte to ye samajhte hain ki nazar utaarna kya hota hai
Aapne dekha hoga ki koi jo bade buzurg hote hain
Ya aapke parivaar mein jo bade honge
Wo kaali mirch, laal mirch, ya fir nimbu lenge, namak lenge
Aur us bache ko poori tarah se, you know circular motion mein
From head to toe, usko nau baar, uske aaspaas gol ghumaate hain apna haath, aise
Aur use agni mein daal dete hain, aur us mirchi ko jalate hain
Us nimbu ko jal dete hain aur vo bacha wahi par hota hai
Aur vo bacha ro raha hota hai
Prantu kai baar hota hai aisa, vo rota hua bacha shaant ho jaata hai

Aapne kabhi gaur farmaaya hai?
Maine to dekha hai aise hote hue
Aisa kyun hota hai aap jaante ho?
Kyunki jab hum us mirchi ko lete hain, us nimbe ko lete hain
Hum us namak ko lete hain, aur jab hum use fire mein daal dete hain
To vo jab jalta hai, to us kaaran
Wahaan pe jitne bhi germs hote hai, insects hote hai
Ho sakta hai koi, you know, mosquitos hue, vo wahaan se bhaag jaate hain

Aur bache ko jo uncomfortable tha
Aur kai baar jo invisible germ hoti hai
Jo koi bhi maa, koi bhi pita, koi bhi vyakti dekh nahi pata hai
Vo wahaan se dur chala jaata hai, bache se
Kyunki unki immunity itni strong nahi hoti, jitni humari hai, hum bado ki
Aur vo madad karta hai us bache ko aaram se bethne ki
Khelne ke liye, masti karne ke liye aur kai baar sone mein

To isliye jab agli baar agar aapka bacha ro raha hai
Pehle aap baat kijiye, kheliye, usse sulaane ki koshish kijiye
Agar nahin maanta hai
To ek baar uss bache ki nazar utaarke dekhiye

Dhanyewaad



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link