AASRA

Dastak deti dil k darwaaze par yaaden
Kai baar jab bhi yaad aanay lag jaen baaten
Rootha hoon sabse ya sab mujhse roothay
Hoon andar se toota kyun karwa har ghoont hai
Dooba andhere mein har ik pal
Aaye na zindagi mein roshni ka kal
Hota na khatam tareeki ka aaj
Kyun hota na khush mujhse ye samaaj
Jo chahta hai dil wo na chahti hakeekat
Nakaami hui aam koi manzil nahi ab.
Main tanha akela mehsoos karun rash mein
Phans chuka ik kashmakash mein
Hass k guzaar deta pal mushkil se
Kya zinda hai tu main poochta dil se
Khiltay jo phool thay wo sab murjha gye
Rishtay hein sab jese kachay dhaage

Aakay mujhe koi bachaale, main doob rha
Andar hi andar se dil mera toot rha
Jaun toh jaun kahan na koi raasta
Umeeden na raheen na rha koi aasra

Ik din ki nai baat kahani ye roz ki
Dil ki is jholi mein bharay afsos ki
Krna jo chahta na kr wohi beth'ta
Aae din taanon k patharon ko sehta
Koshish hoon krta koi khush nai hota
Jitna bhi krloon par kuch nai hota
Dilon mein khot hai sab ooper se pak
Tevar jo inke sab hojaane khaak
Jaanta in baaton se farq nai aaega
Mere in gilon ka hona nai faida
Lagti nai hongi ye baaten sab khaas
Samjho nikaal rha hoon bhadaas
Ehsaas ki kami hai
Inko na dikhti jo aankhon mein nami
Ban chuka mayoosi main apnon k liye
Hota hoon zaleel in sapnon k liye in sapnon k liye
Apnon k liye kuch kr nahi paaya
Bemaksad hoon jese is duniya mein aaya
Kuch matlabi dikhte andhere mein nai
Ujaale mein sath jese hota saaya
Main doob rha nahi doob chuka
Toot rha nahi toot chuka
Hai koi paas na, na koi raasta
Sahara na koi, na koi aasra.

Aakay mujhe koi bachaale, main doob rha
Andar hi andar se dil mera toot rha
Jaun toh jaun kahan na koi raasta
Umeeden na raheen na rha koi aasra



Credits
Writer(s): Saad Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link