Dastaan-e-Shauq

Gaur-e-nazar se dekho
Dikhti soorat meen seerat
Tere gar rang dil ki
Badle na pal pal fitrat

Hanske woh nadaan pooche
Baaton hi baaton mein
Pooche kya hai keemat
Tere in khwaabon ki
Is deewanepan ki
Tere armaanon ki

Mansoobon pe tere
Barsa aisa paani
Dhulti hai shakhsiyat
Na mila koi saani

Hai aaghaz yeh ya shikast meri
Dastaan-e-shauq haqeeqat meri

Sunke mere kisse
Phir bole bakhabar woh
Aye tujhse pehle maskhare
Bazaaron mein
Khushi tu dhoondey jisko
Hai nilaam ishteyhaaron mein

Phir kyun yakeen ho
Mujhko is haal-e-chaman par
Karobaari le doobi
Jab yaaron ki yaari

Hai aaghaz yeh ya shikast meri
Dastaan-e-shauq haqeeqat meri

Dastaan-e-shauq
Dastaan-e-shauq
Dastaan-e-shauq
Dastaan-e-shauq

Hanske tujhse poochun
Baaton hi baaton mein
Poochun kya hai keemat
Tere khwaabon ki

Tere in Khwaabon ki.



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link