Koyla

Jab gir jaaye haathon se
Bastey naseebon ke
Na jeene ke bahaaney hazaar
Dil ko tu sambhal mere yaar
Is jigrey mein in hasraton ka
Phir koyla jaley

Khuddaron ke andaazon se
Jalta hai yeh zamaana
Na behlaate woh Dilon ko
Sunte na woh bahaana

Saaz-o-saaman se tu
Na kar dilkashi
Pehchaan teri kahin yun na
Kar le khudkushi

Baqaayada is duniya mein
Aasaan shaamil ho jaana
Chalke dooojon ke raston par
Manzar manzar kho jaana

Takaaza waqt ka dilon pe bhaari maine maana
Kambakht waqt hi sikhaaye aasmanon ko aankhen dikhaana

Khuddaron ke andaazon se
Jalta hai yeh zamaana
Na behlaate woh Dilon ko
Sunte na woh bahaana

Jab gir jaaye haathon se
Bastey naseebon ke
Na jeene ke bahaaney hazaar
Dil ko tu sambhal mere yaar
Is jigrey mein in hasraton ka
Phir koyla jaley



Credits
Writer(s): Raman Negi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link