Jo Tum Saath The

Jo tum sath the
Jo hum paas the
Kitne mere
Tum kareeb the
Fir kya hua
Is darmiyaan
Hue door hum aur tum

Hoke besabab
Kho diya hai sab
Maqsad kuchh na raha
Jeene ka ab
Hain kyun tanha ham

Tum mere the kabhi hum nashiin
Kyun nahi hai tumhe ab yakin
Mera dil tha kabhi tera ghar
Aata kyun hain nahin ab nazar
Kya tujhe hai khabar tere bin
Har dua hai meri beasar
Nazar aakar thodi rahat kar
Ho sakun phir tera main

Zyada nahi
Thoda karen
Jitna sahi
Saath chalen
Phir na kabhi
Ek duje se
Na door
Hum aur tum

Tu mili thi tab
Pa liya tha sab
Dil hai jo haan kare galti ab
Kar de maaf use ab

Yeh dil hai jo teri na sune
Aawara hai shaitaniyan kare
Zindagi hai pareshaniyan bhari



Credits
Writer(s): Akhil Sharma, Rishi Kumar, Vishnu Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link