Khafa

Rehna na mujhse khafa
Kyu hai tu milke bata
Tere hawale hi ha
Kardu me khudko fanah

Ab mudhke bhi na dekhe essi baat hogyi
Ke likhne bethe yaadon me to raat hogayi
Tune pehli hi dafa me humein jeetliya tha
Vo bhi khubsurat thi Jo mulakat hogayi

Tere sare gunaaho ko lelu apne sar pe main
Jo tu yaha pe aake sach me ab meri Bane
Baatein ginao to dur rehte Nazar se
Jo tere mere beech aake kehte tum na rehna bhale

Ki Lage aaj sahi ye jagah hai
To aaja fir tujhko batadu
Tu manegi na mujhko pata hai
Main fir bhi kyun zor lagayu

Tere bina main na janu
Kese mudhke batadu
Ab nahi kese manu
Kese apna banalu main

Rehna na mujhse khafa
Kyu hai tu milke bata
Tere hawale hi ha
Kardu me khudko fanah

Aaja quaishon ko jeeke bemisal rahe
Ye bhi zindagi jawaab na sawal rahe
Har vo bikhri huyi raat ko tu sath rahe
Mere likhe huye har lafz aabad rahe

Kya me kahu mujhe uspe ab Shak bhi nahi
Dil me ab sach jana rakhti nahi
Bewajah yu bharosa hum karte chalein
Ab guzra jo ye waqt vo bhi dikhti nahi

Ab tere bina rehna bhi aata nahi
Dil ko ye kehna bhi aata nahi
Aakhon se padhle tu aake mujhe
Tujhse yaha pehle koi aaya nahi

Jana na tu bewajah
Karke humko bepanah
Dil bhi ye kehne laga
Aake tu sunle Zara ye

Rehna na mujhse khafa
Kyu hai tu milke bata
Tere hawale hi ha
Kardu me khudko fanah

Rehna na mujhse khafa
Kyu hai tu milke bata
Tere hawale hi ha
Kardu me khudko fanah



Credits
Writer(s): Vinay Kriplani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link