Qissa

Aaj main Akela
Main Aur meri Kalam
Socha kuch likh dun

Anjan tum bhi the, Anjaan hum bhi the
Uss Safar se
Manjil to ek
Par dono ke raste alag the

Dardo ke sath dil, sota tha roz mera
Aasu bhi nahi bache, karu afsos tera
Jism ka main bhookha, aisa bhi na soch mera
Roz tadpati mujhe, na hone ka bojh tera

Ye nakabkoz zamana yaha pyaar toh dikhega
Par pyaar dhundne jaoge toh pyaar na milega
Iss zamane main tumko harna padega
Asli pyaar ka tumhe pehchan tab dikhega

Dard bahut hai, sunne wale kam
Khyaal jab bhi aata tera aakhe hoti nam
Ro-roke bhi zakhme na hoti kam
Ab pyaar dega kise, puch raha mann

Sooraj dhal raha hai
Chand bhi aadha aa chuka hai
Par meri kahani
Abhi tak khtam nahi hui
Kuch aur likha hai, Sunna
Mujhe yaad hai vo din
Jo guzare tera sath the
Vo lambi safar hatho mein tere hath the
Darr lagta tha mujhe khona dun tujhko main
Sach tha vo darr bann gaya mera aaj hai
Aaj hai
Kal ka pata nahi mujhe par naaz hai
Sambhala meri maa ne mujhe bade pyaar se
Thoda tha tune mera dil ab na vishwas hai
Ab na vishwas hai

Rota tha main pehle, ab toh Sambhal gaya
Khudko samjh liya, zindagi savar gaya
Pyaar vyaar fuck, bharosa ab na raha
Sacha pyaar kya hota?
Zamana ye sikha gaya

Ab toh shaam bhi hogya hai
Chand bhi aagya
Par shayad mere kaale aasman main
Tera chand hai hi nahi

Yaad meri sataygi har pal tumhe
Mera khuda gawah
Kabhi rulaya ho maine tumhe
Abhi aana ho toh aajana mujhe se milne
Baad mein agar aaoge toh shayad hum na mile



Credits
Writer(s): Aditya Dubey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link