Khoya Sab

Khoya saath lage khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi (Roi nahi)
Uthaaye jokhim hamne roz hi naye (Roz hi naye)
Jab thi khane ko rozi-roti nahi (Roti nahi)
Mili izzat, mili taakat par talaasha maine chain
Thoda jab na mila vo hi kahin (Kahin nahi)
Khoja khud mein bhi aur khoja jag (Khoja jag)
Khud ki khamiyaan par khoji nahi (Khoji nahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Khoya pyaar, isme khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi, roi nahi (Yeah, yeah, yeah)

Kya hai sahi aur hai galat kya? (Kya?)
Mujhe nahi pata hai farak kya (Kuch nahi)
Bas dekha apno ko sote bhookhe pet
Aur jaanta hota vo dard kya
Chukaaye jo sar the karze mere
Jo jeeta nahi main vo shart kya? (Kya?)
Is haar aur jeet ke beech mein
Rahta khof mera, aajaye ant na
Dikhe bas kohra aage
Lage khudko hi kho raha main (Kho raha main)
Kya tha main pehle aur kya ban gaya main?
Karen ye izzat meri ya karen ye daya mujhko dekh ke (Dekh ke)
Choti pe hoon khada main
Par ja rahi zameen ye pairo ke neeche se phisal
Is maya ke jaal se chahoon ke jaaun main nikal
Rahti hai apnon ki jaanon ki fikar (Fikar)
Neendein haram, karoon main shaant
Kaise sar mein chalti aawaazon ko? (Chup)
Hone nahin deta kabhi nam in aankhon ko
Par kaise badloon main ab in haalaaton ko? (Kaise?)
Karne hain pure kuch adhoore khwabon ko
Kaise chalaaoon main vaapas se thami un saanson ko
(*Ambulance sirens*)

Khoya saath lage khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi (Roi nahi)
Uthaaye jokhim hamne roz hi naye (Roz hi naye)
Jab thi khane ko rozi-roti nahi (Roti nahi)
Mili izzat, mili taakat par talaasha maine chain
Thoda jab na mila vo hi kahin (Kahin nahi)
Khoja khud mein bhi aur khoja jag (Khoja jag)
Khud ki khamiyaan par khoji nahi (Khoji nahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Khoya pyaar, isme khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi, roi nahi (Yeah, yeah, yeah)

Mujhe lagta tha hoon main shapit (Shraap)
Phir pata chala ke main khud hi hoon shraap (Shraap)
Kitne jo khade khilaaf (Shraap)
Hai meri sangat kharaab (Shraap)
Tha mera mattha kharaab, jo kheecha tujhe bhi is daldaal mein
Khatron se bhare is jangal mein (Jangal)
Hai mera kasoor
Jaane diya tujhe ghar vaapis akela us raat
Ye jaan ke bhi ki ho rahi gun teri jaam (Jaam)
Aur dushman ne kar diya jang ka ilaan
Par na tha jaanta main hogi meri kismat itni kharaab
Ke usi din teri jaan ke aayenge peeche vo
Karte waar bhi jo peeche se (*Gunshots*)
Geedad ye pantar gali ke the
Jab se hui zindagi behtar apni
Saale, jalte tabhi se the (Tabhi se the)
Aaya bhaabhi ka call, tu ghar pe aaya nahi laut ke
Aa paata jab tak samajh ke hua kya hai
Tab tak ho chuki thi bahut der (*ECG beeps*)
Usne to de bhi di maafi (*ECG beeps*)
Par na kar pata main khud hi ko maaf (*ECG beeps*)
Toot gaya andar se main bhi (*ECG beeps*)
Jab haathon mein mere todi tune saans (*ECG beeps*)

Khoya saath lage khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi (Roi nahi)
Uthaaye jokhim hamne roz hi naye (Roz hi naye)
Jab thi khane ko rozi-roti nahi (Roti nahi)
Mili izzat, mili taakat par talaasha maine chain
Thoda jab na mila vo hi kahin (Kahin nahi)
Khoja khud mein bhi aur khoja jag (Khoja jag)
Khud ki khamiyaan par khoji nahi (Khoji nahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Ye maya ka hai moh nahi sahi (Moh nahi sahi)
Khoya pyaar, isme khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi, roi nahi

Khoya saath lage khoya sab
Par ye aankhein kabhi roi nahi
Uthaaye jokhim hamne roz hi naye
Jab thi khane ko rozi-roti nahi
Mili izzat, mili taakat par talaasha maine chain
Thoda jab na mila vo hai kahin
Khoja khud mein bhi aur khoja jag
Khud ki khamaaiyaan par khoji nahi
Haan



Credits
Writer(s): Niles Hollowell Dhar, Yash Chandra, Lisa Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link