Zindagi

Mere dar se tu waqif thi
Fir bhi dar ko mere haath mein thama gayi
Tujhko khone se hi darta tha main ab dekh
Ab ye dar bhi mujhko khone laga lazmi
Ab ye duniya bhi sawaal aise puchhti
Ki meri zindagi kyu yaadon mein hi fas gayi
Par meri zindagi bhi aisi hai
Ke pichhli zindagi ka mauka mujhko deti nai

Bana ye heart cold sardi mujhko lagti ni
Ye Whisky ki bhi bottlein ab kadvi mujhko lagti ni
Ye Dil bayaan kara to ye sunni sabki bas ki ni
Main saari baatein boldun zubaan kisse darti ni
Par main bolta ni kholta ni raaz saare
Raaz saare kaano mein jo bolte hai raat bhar hai
Raat bhar hai bolte to gili hoti aankh par ye
Saari baatein boldi tu ro padegi baaton se

Aur tujhe main rulana kabhi chahta ni
Jo vaade kare humne tune tode main nibhata bhi
Main bhulta nai raatein jo bhi saath tere baati thi
Ab sach bata kya vo bhi rakhta vaise tera dhyaan abhi
Kya vo bhi ek avaaz pe hai paas tere aata bhi
Kya vo bhi tujhe gale se lagake hai bhulata bhi
Vo baatein jo bhi gaanon mein main bolta hun raaton ki
Kya vo bhi tujhe chhuta jaise chhuta tha main lazmi

Tune use gale se lagaya hoga
Tune use khaas sa banaya hoga
Usne rulaya tujhe kabhi
To fir yaad rakh paas mein jo mera hi vo haath hoga
Mera haath ko pakad ke tu bhul jana
Jo bhi duniya ne diya tujhe dhokha sa
Firse tu dil mera todegi
Firse main Mauka tujhe dunga inn haathon ka



Credits
Writer(s): Davinder Singh, Prithvi Srivastava
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link