Thandi Hawa

Thandi hawa
Chalta raha
Kitna sahi
Kitni saza
Kitne khush
Kitne khafa
Jab bhi gira
Vapas khada

Arsa hua mujhe mile shabashiya
Mann hi mann mangli maafia
Zabaan se judi hai khamiya
Fir bhi sambhal li yaariya
Stage pe main niche taaliyaa
Bus intezar hai tarikh ka
Jab kaam karlu thoda ghalib sa

Hila nahi jab tak paani aaya nhi kamar tak
Bolte reh gye mujhe sab, jaa ni saku main palat ab
Bechi badi pehle sharam par, ab bus main chalta sambhal kar
Kitno ke tode dil, kitne ke pyaar se jee raha taras kar
Tarasta nhi to main likhta kese
Ghamand nhi hota to main bikta kese
Beth ja taaj tu sir ka pehne
Chahiye nhi, dekhenge khud milta kese

Ab rahi chah bhi nhi hai
Ab meri koi raah bhi nahi
Galat aadatein paal li gyi hai
Icchaye kitni apni maardi gyi hai

Oh hum paide hue nhi khaas
Humpe nhi saare jawaab
Hum me se kuch aage nikle
Thodo se ab hai nhi baat
Sikhaya bohoto ne jeena
Likhai bani tab kavita
Tajurbe se aata nahi sab kuch
Kitaabo se maine seekha

Ya banna ni kuch ya banna vo jo rahe saalo tak yaad
Jaun faraz aur sahir ke sath juda ho apna naam
Aashiq me pehle se tha, usne bus bhari dawat
Kagaz bharne ye sikhaye usne, uski yaad jaise

Thandi hawa
Chalta raha
Kitna sahi
Kitni saza
Kitne khush
Kitne khafa
Jab bhi gira
Vapas khada
Thandi hawa
Chalta raha
Kitna sahi
Kitni saza
Kitne khush
Kitne khafa
Jab bhi gira
Vapas khada



Credits
Writer(s): Rahul Jaluthria
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link