Ufo

Palke shabnami na kar
Mud ke dekhne me itni hadbadi na kar
Jaana
Mujh ko chahti hai samjhna
Aesi gadbadi na kar
Rab se pher ke nazar
Wo mujh ko dekhti hai
Mai usme dooba
Aur wo mujh me pighle
Neeyat ek si hai
Wo khamoshi bezubaan hu mai
Khali makaan hu mai
Jisme aati wo hawa jo tujh ko chooti hogi
Labo ko see ke tu bhi jalti hogi
Na jinme lafz ho koi
Wo ghazle padhti hogi
Ye Dil hai sookha dariya
Ab na koi kashti hogi
Machalke aahato pe
Tu bhi sambhalti hogi
Mai khud me hi pada admara sa
Kya hota hoga jab tanhai
Tujh ko dasti hogi
Marte dam Tak ek kasak si hogi
Makaam ye satva
Issaq ki basti hogi
Iske aage
Jaha pe zindagi na hum se ladti hogi
Jaha tu hasti hogi
Jaha akal na bass
Dil ki chalti hogi
Mujhe banani duniya ek
Jaha sirf mann ki hogi
Karenge sabse dosti
Hongi aankhein jo bas, pyaar se dekhti hongi
Liya hai pyaar ka naam toh sochu mai ki tu kise ab sochti hogi
Is dil mein kaafi masle hai, sambhaal
Tu keh na kuch par sab mujhe bata
Khoon,pasina, mehnat theek par zaroori hai lagaav
Boley meri Maa
Tum sacha rakhna bhaav
Jooth se baste honge ghar kahin par hote bhi barbaad
Paake hoti na hai kadar thi tu khuda jab thi khwaab
Tu hai farishta
Ajeeb sa hai ye zindagi se rishta
Tu hai tishnagi mai tishna
Zindagi ka matlab shayad dil lagi me pisna
Ya dil lagi mein khilna
Kabhi ho sake toh dekhna mera roop jo bas tadpe
Kabhi ho sake toh dekhna na quroop bas hai ladke
Kaafi kuch hai paane ko
Tu dekh naazar se duniya meri
Bekhabar si duniya meri
Jaha sirf mann ki hogi
Fikar na kal ki hogi



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link