Rasiya Reprise (From "Brahmastra")

Mera darpan akhiyaan teri
Tujhko tarse akhiyaan meri
Jeena mujhko raas aane laga
Jab se chehki batiyaan teri

Jogan, tera maara rasiya
Jag jeeta, dil haara rasiya
Pag tere chaubaare thehre
Sadqe main banjaara rasiya

Rasiya yeh tera hua, tune jiya moh liya
Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saunp diya

Ho, galiyon mein teri phir raha hoon
Chhod ke main rezgaari
Goya na-samjhi hai yeh meri
Ya ki teri hoshiyaari?

Zikr tera inn labon pe
Din-rain hai, din-rain hai
Man mein tu hai, man tabhi toh
Bechain hai, bechain hai

Ban kar tera yaara rasiya
Soche na dobaara rasiya
Pag tere chaubaare thehre
Sadqe main banjaara rasiya

Rasiya yeh tera hua, tune jiya moh liya
Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saunp diya

Tum rahe na tum, hum rahe na hum
Thode hum mein tum, thode tum mein hum

Jogan, tera maara rasiya, rasiya
Jag jeeta, dil haara rasiya
Dil haara rasiya, rasiya, rasiya



Credits
Writer(s): Chakraborty Pritam, Amitabh Bhattachary
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link