Sarphira

Kaisi baatein main kar raha
Main sarphira
Main sarphira
Tujhse ho gaya jo judaa
Mera sar phira
Hua sarphira

Jazbaato se bhari ye jaan nikal na jaaye
Kab kya pata hai
Gaate gaate likhne lage kab
Ye kya sila hai

Din din bhi guzarte jaaye
Phir bhi hum tum na paas aaye
Abse hume ghamm sulaaye
Kon chaahe kya sitam
Ye kya gila hai

Lagayi jaan apni
Jaan' tujhko jaan dedi
Jaan mein jaan se
Anjaane mein wo jaan leli
Thi kya khata har dafa
Ye sawal mein bhi
Karta main yaad itminan se
Hai pyaar yahi

Kaisi baatein main kar raha
Main sarphira
Hua sarphira
Tujhse ho gaya jo judaa
Mera sar phira
Hua sarphira

Haazir hai aaj dil ka paigam
Zaalim iraadey aur bikhre hain baal
Kaise thhe tab aur kaise hain aaj
Jaana kamaal ye ishq mizaaj

Zamane se kaise
Chippaaye hum
Phirse teri baatein
Dhoraaye hum
Naa chahke bhi wahi chahh se hi
Tere naam pe
Sarr ghumaaye hum

Dawa do na mujhko
Duba do uss dil ko
Ke saans na aaye mujhe
Wo pal ghote jaake mere damm ko
Lo thakk haar ke bhi aaya kinare pe
Sar phirate main dekha wo paani mein
Aaye nazar mujhe tera hi chehra
Ab jeete jeete kaash bas
Marna munasib ho

Haye
Tujhme doobte hai
Toot'te hai aise
Jaanam kaanpte hai
Yaad karte kaise

Jaise baarishon me
Bijliyo ka aalam
Aur hum jal jaaye
Tadap ke aise

Haye

Kaisi baatein main kar raha
Main sarphira
Hua sarphira
Tujhse ho gaya jo judaa
Mera sar phira
Hua sarphira



Credits
Writer(s): Vasu Raina
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link