THE END

Kahaan hai Emiway?
Pehle jaisa live kyu nahi aata?
Pehle jaise bohot gaane kyu nahi dalta?
Pehle jaise abhi baat kyu nahi manta?
Kahaan hai Emiway?
Mujhe khud nahi pata, koi bata de
Mujhe bhi insaano ke beech mein koi jagah de
Mere bhi emotions hai, leke baitha jagah ye

Jo kisi ko kabhi nahi dunga, game mere haath mein
Log jaage baja ke, gaane mere ye jagah de
Issi ko kami kahunga, fame tere pass nahi hai
Samjhega tu nahi mujhe, yed kayko bhaga rahe?
Ab pakaa rahe ye log jo ki pake nahi hai khud
Bhai-bhai bole (Bhai, bhai, bhai, bhai), kiske sage nahi hai khud
Rai-wai tere, mujhe dena nahi bachkane
Bye-bye bola toh bhi jaa rahe nahi hai khud

Arey aade mein toh le, akhaade mein
Ye kiske baare mein bola mai, samacharo mein
Charo diwari bahaar hu mai
Chaar diwari rehke bhi sadak ki baatein jaanu mai
Bhadakta wo zubaan hu mai, parakhta wo insaan hu mai
Par rakhta meri baaton mein sirf real talk
Fear bohot dikhta inke gaano mein, ye real bhaunkte hai
Real bohot karne ki kare ye try
Private life jaake dekho saale kitne real hote hai

Bas sun jo bhi tera dil bolta hai
Khada rehna seekh jo bhi sahi hai uske liye
Baaki khali aayenge adaane khota taang
Mere baare chhod, jaa ke zara soch khud ke liye
Khud ke nahi hai, ghutne tikte nahi hai khuda ke saamne
Dikhte nahi hai inhe sache kaun hai
Phir aake samne bane real lekin real nai hai logo ko samne
Jo bhala kare, ussi ko ye dubate jaan ke (facts)

Subha se shaam mein, laga mai kaam mein, hustle hai
Lagan hai kaam pe, mere jo fans hai, asal hai
Jiyu araam se, chalu mai naam se, fasal hai
Niche se ugaa mai, fame mein nahi duba mai
Pasand hai rehna mujhe down to earth
Karu tujhe count kyu ab?
Round two ab ghaatak hai, sunega naya sound tu ab
Kaan tu ab laga ke sun, kar raha account hu ab
Shows nahi kar raha kyuki mera hai amount too up

Rap lage mera incredible, comfortable hota nahi mai jaldi
Flow rahega mera unforgettable
Baatein meri sunega, lagega sun raha das ka table
Ten on ten hai, quality pen
Banaya khudka label, gawaya kitna mai par
Moke pe roya nahi, chahiye nahi favour
Baaki se alag hai tevar, alag hai level
Saath mere day one
Tere hai lame men, mere hai demon
Karne aa raha beef toh shaane saare ho jaa rahe vegan (vegan)
Aede-chaale jo bichare bole jaa rahe mere baare mein toh "The end"

The end
The end



Credits
Writer(s): Mohd Bilal Shaikh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link