Morya Morya

Ho, saare jag mein sabse pehle hota tera vandan
Tu hi sanvaare kaaj humaare, he, Shiv, Gauri Nandan
Tu hai sanaatan, tu hai gajaanan, tu hai siddhi vinaayak
Tu hai maheshwar, tu hai kripaakar, tu hai vighna vinaashak

Teri bhakti haradam main karoon
Deva, teri shakti banke main rahoon

(Morya, morya, morya ganraya)
Tujhse hai duniya mein ujala, Ganpati bappa, morya
(Morya, morya, morya ganraya)
Tu hi sab lokon mein nirala, mangalmoorti, morya

(Morya, morya, morya ganraya)
Tujhse hai duniya mein ujala, Ganpati bappa, morya

(Ganpati bappa, morya)
(Mangalmoorti, morya)

Vakratund mahakaaya suryakoti samaprabha
Nirvighnam kuru me dev sarvakaaryeshu sarvadaa
Vakratund mahakaaya suryakoti samaprabha
Nirvighnam kuru me dev sarvakaaryeshu sarvadaa

Yadi aarambh tujhse ho fir parinaam ka dar kya
Tera hi vaas har jagah, bhoomi aur ambar kya
Tere naam ki chaaya mein saara jeevan beetega
Teri mahima hote, humse paap kabhi na jeetega

Maana ye samay bhi alp hai
Deva, fir bhee apna sankalp hai

(Morya, morya, morya ganraya)
Tujhse hai duniya mein ujala, Ganpati bappa, morya
(Morya, morya, morya ganraya)
Tu hi sab lokon mein nirala, mangalmoorti, morya

(Morya, morya, morya ganraya)
Tujhse hai duniya mein ujala, Ganpati bappa, morya
(Morya, morya, morya ganraya)
Tu hi sab lokon mein nirala, mangalmoorti, morya

(Ganpati bappa, morya)
(Mangalmoorti, morya)



Credits
Writer(s): Sugat Dhanvijay, Tripurari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link