Aaj Bhi

Aaj bhi aap aaye nahi
Kal bhi nahi aaoge
Parson ka pata nahi
Shayad narson bhi sataoge
Aap aise hi ho

Mujhmein nai ab jaan baaki
Galtiya gina di tujhko
Chal ab maang maafi
Ghoore taaron ko hum
Taare bhi ab girte nahi hain
Aashiq hain janab
Aise har kisi pe marte nahi hain

Tumhare pair dho ke pee lein
Phir bhi kam kahoge
Tumko chahein tumse zyada
Toh sitam kahoge
Shayad se mar jayenge
Hum bhi baki aashiqon ki tarah
Par waada hai khuda ke
Aashiq is zameen se kam na honge

Kya hi naseeb hoga
Usko jisko tu mila hai
Dard kaafi deta hai yeh zakhm
Jo humko tumse bin wajah mila hai yeah
Jo humko tumse bin wajah mila hai yeah

Aankhein band phir bhi
Teri taraf daud gaye
Poora paana chaha tujhko
Khud ko aadha chhod gaye
Khamoshi de rahi khamoshi ka jawab
Tumko rote huye nai dekhna
Tabhi to muh ko mod gaye the hum

Faasle hum kaat lete
Magar khamoshi hum kaise sehte
Aashiq hone ki saza mili hai
Bata doon chup na hum kaise rehte

Faasle hum kaat lete
Magar khamoshi hum kaise sehte
Aashiq hone ki saza mili hai
Bata doon chup na hum kaise rehte

Phir se wohi kamra phir se teri yaad ghere
Maa ki baat yaad hai mujho
Duniya ke yahan do chehre
Hat na saali mera hath chhod aur jaane de
Us-se dhokha kha ke mujhko keh rahi
Jaana tum ho mere

Nahi yeh tera saccha wala pyaar nahi hai
Teri yaadon ke ab hum rahe gulaam nahi hai
Yeh koi baat nahi ke dil mein aaya jo bhi keh do
Pyaar hai koyi RANDI nahi ki
Paisa do tamasha dekho

Tumhein kasam hai hamari ab na wapas aana
Mubarak ho aapko aashiq aapka naya wala
Sadiyan beet gayi thi
Is patthar ko dil banane mein
Maut ka ehsaas karna ho to pyaar aazmana
Pocket pills aur yeh nasha mere hath mein
Nasha chade sir to phir
Lage ke tu sath mein hai
Bas karo jaana thoda reham khao mere pe
Jahan bhi tu chhod gayi thi
Wahin pe thehre hain hum

Aaj bhi tujhe hum nahi bhula sake
Koshishein bhi koshish kar rahi
Ki koshish ab ruke par dheeth hain hum
Itni aasani se ni maanenge
Zehar laake doge
Tere hath ka bhi kha lenge hum

Munaasaro mein sabse upar tujhko rakha hai
Khuda se bhi upar tu khuda bhi tere baad hai
Kal chowk pe woh mujhko dekh wapas mud gayi thi
Chalo shukar kam se kam
Mera chehra unko yaad hai
I'm out

Teri mehfilon mein hum na honge
Marenge aashiq phir bhi kam na honge
Sitamgaron mein rehne lag chuke hain
Yehi ummeed tum sitam karoge

Teri mehfilon mein hum na honge
Marenge aashiq phir bhi kam na honge
Sitamgaron mein rehne lag chuke hain
Yehi ummeed tum sitam karoge

Aaj bhi aap aaye nahi
Kal bhi shayad nahi aaoge
Parson ka pata nahi
Shayad narson bhi sataoge

Aaj bhi aap aaye nahi
Kal bhi shayad nahi aaoge
Parson ka pata nahi
Shayad narson bhi sataoge



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link