Kal Ki Haseen Mulaqat Ke Liye (From "Charas")

Good night
Aa? good night?
Haan, good night
Achchha, good night

Kal kee haseen mulaaqaat ke liye, aaj raat ke liye
Hum-tum juda ho jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain

Aap, neend nahin kya aayi?
Neend meri aap ne churaayi
Neend nahin kya aayi?
Neend meri aap ne churaayi

Main to nahin soi, aadhee raat hoi
Aap ko hua kya? khaas vajah koyi?
Akele mein hum ghabara gae
Chale gae the, phir aa gae

To maaf karnaa is baath ke liye, aaj raat ke liye
Hum-tum juda ho jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain

Aap, ab hai kya majaburi?
Haan, kaam tha ek zaroori
Ab hai kya majaburi?
Haan, kaam tha ek zaroori

Lambee-lambee raatein, choti mulaqaatein
Bhool gaya tha main do-chaar baathen
Baathon se naa dil apanae bharen
Aankhon mein kayi sapane bharen

To sapanon kee is baraat ke liye, aaj raat ke liye
Hum-tum juda ho jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain

Main aayaa, aap jaathe hain
Hum aap se sharamaate hain
Lo, main aayaa, aap jaathe hain
Hum aap se sharamaate hain

Main to hoon deewaanaa, main ye nahin jaanaa
Hum se sharam ka kya hai bahaana?
Dekho, pehle hum the ajanabi
Ho gayi magar ab dosti

Badle hue halaat ke liye, aaj raat ke liye
Hum-tum juda ho jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain

Kal kee haseen mulaaqaat ke liye, aaj raat ke liye
Hum-tum juda ho jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain
Achchha, chalo so jaathe hain, achchha, chalo so jaathe hain

Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link