Ye Kagzi Phool Jaise Chehre (Devar Bhabi 1967)

Ye log patthar ke dil hain jin ke
Numaaish-e-rang me hain doobe

Ye kaghazi phool jaise chehre
Mazaaq udaate hai aadmi ka
Inhe koi kaash ye bataa de
Maqaam uncha hai saadgi ka

Inhe bhala zakhm ki khabar kya
Ke teer chalte huwe na dekha
Udaas aankhon me aarzoon
Ka khwab jalte hue na dekha
Andhera chhaya hai inke aage
Haseen ghaflat ki roshni ka
Ye kaghazi phool jaise chehre
Mazaaq udaate hai aadmi ka

Ye sehn-e-gulshan me jab gaye hain
Bahaar hi loot le gaye hai
Jaahan gaye hai ye do dilon ka
Qaraar hi loot le gaye hai
Ke dil dukhana hai inka sheva
Inhe hai ehsaas kab kisi ka
Ye kaagzi phool jaise chehre
Mazaaq udaate hai aadmi ka

Main jhoot ki jagmagati mehfil
Me aaj sach bolne laga hoon
Mai ho ke majboor apne geeton
Me zehr phir gholne laga hoon
Ye zehr shayad udaa de nasha
Ghuroor me doobi zindagi ka

Ye kaghazi phool jaise chehre
Mazaaq udaate hai aadmi ka
Inhe koi kaash ye bataa de
Maqaam uncha hai saadgi ka
Ye kaghazi phool jaise chehre



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link