Jhoka Hawa Ka Aaj Bhi

Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na
Tera dupatta aaj bhi tere
Sar se sarakata hoga na
Baalon mein tere aaj bhi
Phool koi sajta hoga na

Thandi hawaayein raaton mein tujhko
Thapkiyan deti hongi na
Chaand ki thandak khwaabon mein tujhko
Leke to jaati hogi na
Suraj ki kirnein subah ko teri
Neendein udaati hogi na
Mere khayalon mein sanam
Khud se hi baatein karti hogi na
Main dekhta hoon chhup chhup ke tumko
Mehsoos karti hogi na
Jhonka hawa ka aaj bhi
Zulfein udaata hoga na

Kaagaj pe meri tasveer jaisi
Kuchh to banaati hogi na
Ulat palat ke dekh ke usko
Jee bhar ke hansti hogi na
Hanste hanste aankhein tumhaari
Bhar bhar aati hongi na
Mujhko dhakaa tha dhoop mein jis se
Woh aanchal bhigoti hogi na
Savan ki rimjhim mera tarana
Yaad dilaati honi na
Ek ek meri baatein tumko
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na
Yaad to aati hogi na

Kya tum mere in sab sawaalon ka
Kuchh to jawaab dogi na.



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link