Dil Hi To Hai

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khist
Dard Se Bhar Na Aaye Kyon?
Royenge Hum Hazaar Baar
Koyee Hamein Sataye Kyon?

Dair Nahin, Haram Nahin,
Dar Nahin, Aastan Nahin
Baithe Hain Reh-Guzar Pe Hum
Gair Hamein Uthaye Kyon?

Jab Veh Jamaal-e-Dilfaroze
Surte-Mehre Neem-Roze
Aap Hi Ho Nazaar-Soze
Parde Mein Munh Chuppaye Kyon?

Dashne-e-Gamaz Jaan-Sitan
Naavke-Naaz Bepanah
Tera Hi Akse-Rukh Sahi,
Saame Tere Aaye Kyon?

Kaide-Hayat-O-Band-e-Gam,
Asl Mein Dono Ek Hain
Maut Se Pehlre Aadmi
Gum Se Nijaat Paye Kyon?

Husn Aur Us Pe Husn-e-Zun
Reh Gayee Bulhavas Ki Sharm
Apne Pe Etmad Hai,
Gair Ko Aazmaye Kyon?

Van Veh Garure-Izz-o-Naaz
Yan Yeh Hijabe-Paase-Vazan
Raah Mein Hum Milen Kahan
Bazm Mein Veh Bulaye Kyon?

Han Voh Nahin Khuda Parasat
Jaao Veh Bewafa Sahi
Jisko Ho Dino-Dil Aziz
Uski Gali Mein Jaye Kyon?

Ghalib-e-Khast Ke Bagair
Kaunse Kaam Band Hain?
Roeeye Zar-Zar Kaya?
Keejiye Haye-Haye Kyon?

- Mirza Asadullah Khan Ghalib
(Translated from the original in Urdu)



Credits
Writer(s): Mirza Ghalib, Bhavdeep Jaipurwale
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link