H'azaaron Khwahishen

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle

Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...



Credits
Writer(s): Mirza Ghalib, Bhavdeep Jaipurwale
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link