Kuch Pehlay In Ankhon Aagay

kuch pehlay in ankhon aagay kya kya na nazara guzray tha
kya roshan ho jati thi gali jub yaar hamara guzray tha

thay kitnay achay log k jin ko apnay gham say fursat thi
sub pocht-tay thay ehwaal jo koi dard ka maara guzray tha

thi yaaron ki buhtat to hum aghyar say bhi bezaar na thay
jub mil baithay to dushman ka bhi saath gawara guzray tha
ab to hath sujhai na deway laiken ab say pehlay to
aankh uthtay hi aik nazar mein aalam sara guzray tha



Credits
Writer(s): Tina Sani, Shabana Azmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link