Kab Yaad Mein Tera Saath Nahin

jab yad mein tera sath nahi
kab hath mein tera hath nahi

sad shukr k apni raton mein
ab hijr ki koi raat nahi

kab yaad mein tera...

maidan-e-wafa darbar nahi
yaan nam-o-nasab ki poch kahan

aashiq to kisi ka naam nahi
kuch ishq kisi ki zaat nahi

kab yaad mein...

jis dhaj say koi maqtal mein gaya
wo shaan salamat rehti hay
yeah jaan to aani jani hay
is jaan ki to koi baat nahi

gar bazi ishq ki bazi hay
jo chaho laga do dar kaisa
gar jeet gae to kya kehna
haare bhi to bazi maat nahi

kab yad mein tera...



Credits
Writer(s): N/a Khaiyyaam, Faiz Ahmed Faiz
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link