Ek Pardesi Door Se Aaya

Ek pardesee door se aayaa
Ladkee par haq apana jataayaa
Ghar waalon ne hami bhar dee
Pardesee kee marzi kar dee

Pyaar ke vaadein huen naa poore
Rah gae saare khaab adhure
Chhod ke saathee aur hum-saayen
Chal dee ladkee des parae

Do banhon ke haar ne roka
Vaadon kee diwaar ne roka
Ghaayal dil ka pyaar pukaaraa
Aanchal ka har taar pukaaraa

Par ladkee kuch munh se naa bolee
Pathar ban kar gair kee ho lee
Ab gumsum, hairaan see hai vo
Mujh se bhee anjaan see hai vo

Jab bhee dekho chup rahtee hain
Kehtee hain to ye kehtee hain
"'kal kee baath naa koyi jaane'
Kehthe hain ye sabhee ciyaane"

Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga, achchha hoga
Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga, achchha hoga

Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga, achchha hoga



Credits
Writer(s): Ravi, Ludiavani Sahir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link