Ek Thi Ladki Meri Saheli

Ek thi ladkee meri saheli
Saath pali aur saath thi kheli
Phulon jaise gaal the uske
Resham jaise baal the uske

Hum usko gudiya kehthe the
Rango kee pudiya kehthe the
Saare school kee pyaaree thi vo
Nanhee rajkumaari thi vo

Ek din usne bholepan se
Poocha ye paapaa se jaa ke
Ab main khush rahtee hoon jaise
Sada hee kya khush rahoongi aise

Paapaa bole meri bacchee
Baath bataaoon tujko sachhee
Kal kee baath naa koyi jaane
Kehthe hain ye sabhee sayaane

Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga achchha hoga
Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga achchha hoga

Bachapan beetaa aayi javanee
Ladkee ban gayi rup kee raani
College mein ithlaati firtee
Balkhaati, laharaati firtee

Ek sundar chanchal ladke ne
Chhup-chhup kar chupke-chupke se
Ladkee kee tasveer banaai
Aur ye kahkar use dikhaai

Is par apana naam to likh do
Chhota sa paigaam to likh do
Ladkee pehle to sharmaai
Phir man hee man mein muskaai

Ek din usne bholepan se
Poocha ye apanae saajan se
Ab main khush rahtee hoon jaise
Sada hee kya khush rahoongi aise

Usne kahaa ki, "meri raani
Itanee baath hai maine jaani
Kal kee baath naa koyi jaane
Kehthe hain ye sabhee sayaane

Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga achchha hoga
Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga achchha hoga

Ye mat socho kal kya hoga
Jo bhee hoga achchha hoga



Credits
Writer(s): Ravi, Ludiavani Sahir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link