Zara Nazaron Se

Zara nazron se keh do ji, nishana chook na jaaye
Zara nazron se keh do ji

Maza jab hai, tumhaari har ada qaatil he kehlaaye

Zara nazron se keh do ji, nishana chook na jaaye
Zara nazron se keh do ji

"Qaatil" tumhein pukaaroon ke "jaan-e-wafa" kahoon
Hairat mein pad gaya hoon ke main tumko kya kahoon

Zamana hai tumhaara...
Zamana hai tumhaara, chahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano to aise khel na khelo

Tumhaari is shararat se na jaane kiski maut aaye

Zara nazron se keh do ji, nishana chook na jaaye
Zara nazron se keh do ji

Haay, kitni maasoom lag rhi ho tum
Tumko "zaalim" kahe wo jhootha hai

Ye bholapann tumhara...
Ye bholapann tumhara, ye shararat aur ye shoki
Zaroorat kya tumhein talwaar ki, teeron ki, khanjar ki
Ye bholapann tumhara, ye shararat aur ye shoki
Zaroorat kya tumhein talwaar ki, teeron ki, khanjar ki

Nazar bhar ke jise tum dekh lo, wo khud he mar jaaye

Zara nazron se keh do ji, nishana chook na jaaye
Zara nazron se keh do ji

Hum pe kyun is-qadar bigadti ho
Chhedne waale tumko aur bhi hain

Baharon per karo gussa, ulajhti hain ko aankhon se
Hawaon per karo gussa, jo takrati hain zulfon se

Kahin aisa na ho, koi tumhaara dil bhi le jaaye

Zara nazron se keh do ji, nishana chook na jaaye
Zara nazron se keh do ji



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link