Main Talkhi-e-Hayaat Se

Main Talkhiye Hayat Se Ghabra Ke Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Se Ghabra Ke Pee Gaya

Chalke Hue The Jam Paresha'n Thi Zulf e Yaar
Kuch Aisay Hadsaat, Se Ghabra Ke Pee Gaya

Main Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Huzoor
Main Aaj Apni Zaat, Se Ghabra Ke Pee Gaya

Itni Daqeeq Shai Koi Kaisay Samajh Sakay
Yazdaan Ke Waqiyaat Se Ghabra Ke Pee Gaya

Kantay To Khair Kantay Hi Hain Unse Gila Hi Kya
Phoolon Ki Wardaat, Se Ghabra Ke Pee Gaya

Dunia e Hadsaat Hai Aik Dardnaak Geet
Dunia e Hadsaat Se Ghabra Ke Pee Gaya

""Saghar"" Wo Keh Rahe The Ke Pee Lijiye Huzoor
Un Ki Guzarishaat Se Ghabra Ke Pee Gaya



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link