Gerua (From "Dilwale")

Dhoop se nikal ke, chhanv se phisal ke
Hum mile jahan par, lamha tham gaya
Aasmaan pighal ke, sheeshe mein dhal ke
Jam gaya toh tera chehra ban gaya

Duniya bhula ke tum se mila hoon
Nikli hai dil se ye dua

Rang de tu mohe gerua
Ranjhe ki dil se hai dua
Rang de tu mohe gerua
Haan, nikli hai dil se ye dua
Ho, rang de tu mohe gerua

Ho, tum se shuru, tum pe fana
Hai sufiyana ye daastaan
Main kaarvaan, manzil ho tum
Jaata jahan ko har raasta

Tum se juda jo dil zara sambhal ke
Dard ka woh saara kohra chhan gaya

Duniya bhula ke tum se mila hoon
Nikli hai dil se ye dua

Rang de tu mohe gerua
Ho, Ranjhe ki dil se hai dua
Rang de tu mohe gerua

Oh, veeraan tha dil ka jahan
Jis din se tu daakhil hua
Ek jism se ek jaan ka
Darja mujhe haasil hua

Haan, pheeke hain saare naate jahan ke
Tere saath rishta gehra ban gaya

Duniya bhula ke tum se mila hoon
Nikli hai dil se ye dua

Rang de tu mohe gerua
Ranjhe ki dil se hai dua
Rang de tu mohe gerua
Haan, nikli hai dil se ye dua
Oh, rang de tu mohe gerua



Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Amitabh Bhattacharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link