Khamoshiyan (From "Khamoshiyan")

Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sunne toh aao kabhi
Chhoo kar tumhein khil jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi

Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara

Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahan se zamane ko guzre zamana hua?
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataun tumhein kya, mere saath kya-kya hua

Mmm, khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zara
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa, gunguna le zara

Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara, haan-haan

Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti huyi khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahan
Khili chaandni mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakash hain
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hain
Tumhein mehsoos hoti hain kya?

Beqaraar hain baat karne ko
Kehne do inko zara, haan

Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan
Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan
Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan



Credits
Writer(s): Jeet Gannguli, Rashmi Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link