Mukhote

Pal pal rang badle
Asli chehren niglein
Niyat se hi khote
Chehron ke mukhote
Apne dhun gaate hain yeh
Aur sach ko chabaatein hain yeh
Kya apna kya paraaya
Sab kuch bhool jatein hain yeh
Niyat se hi khote
Chehron ke mukhote
Pal pal rang badle
Asli chehren niglein

Ek waqt ki, yeh baat hai
Ek baawre ko mohabbat huyi
Majnu sa ishq mein andha hua
Laila ke peechhe ye haalat huyi
Phir ek din kuch aisa hua
Laila ko jaadu ka tota mila
Majnu dekhta raha gaya
Laila ka jab mukhota gala

Ek waqt ki, yeh baat hai
Usko qahar ka shauq tha
Usne li kurbaani kayi
Nafrat ka use rog tha
Uski ugaayi lapto mein phir
Ek din uska sapna jalaa
Uska mukhota bhi jal gaya
Par tha jo khoya wo na mila



Credits
Writer(s): Vasu Dixit, Pavan Kumar Kj, Sanjeeva Nayak Sooda, Jishnu Dasgupta, Varun Murali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link