Mere Humnafas Mere Humnava

Aa, mere humnafas, mere humnava
Mujhe dost ban ke dagha na de
Mere humnafas, mere humnava
Mujhe dost ban ke dagha na de

Main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab
Mujhe zindagi ki dua na de
Main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab
Mujhe zindagi ki dua na de
Mere humnafas...

Mere daag-e-dil se hai roshni
Isi roshni se hai zindagi

Mujhe dar hai, ae, mere charagar
Yeh charaag tu hi bujha na de
Mujhe dar hai, ae, mere charagar
Yeh charaag tu hi bujha na de
Mere humnafas...

Mujhe chhod de mere haal par
Tera kya bharosa hai charagar

Yeh teri nawazish-e-muqtasar
Mera dard aur badha na de
Mere humnafas, mere humnava
Mujhe dost ban ke dagha na de
Mere humnafas...

Mera azma itna buland hai
Ke paraye sholon ka dar nahin
Mera azma itna buland hai
Ke paraye sholon ka dar nahin

Mujhe khauf aatish-e-gul se hai
Yeh kahin chaman ko jala na de
Mere humnafas, mere humnava
Mere humnafas...

Woh uthe hain leke hum-o-subu
Arey o, "Shakeel" kahaan hai tu?

Tera jaam lene ko bazm mein
Koi aur haath badha na de
Mere humnafas, mere humnava
Mujhe dost ban ke dagha na de

Main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab
Mujhe zindagi ki dua na de



Credits
Writer(s): Shakeel Badayuni, N/a Khaiyyaam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link