Bolo Ramchander Ki Jai

(Bolo re, "Shree Ramchandra ki jai," bolo}
(Bolo re, "Shree Ramchandra ki jai," bolo}

Bolo, "Ramchandra ki jai"
Bolo, "Ramchandra ki jai"
Bolo, "Ramchandra ki jai"
Bolo, "Ramchandra ki jai"

Chalo Bajrangi ke charnon mein jaakar
Ram ramaiya ki dhooni ramaayein
Ram ramaiya ki dhooni ramaayein
Karein unka simran, safal ho ye jeevan
Raag-dwesh sab man se bhulaayein

("Shree Ramchandra ki jai," bolo)
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)

Ye sansaar hai ek dhundhla sa sapna
Hai sachaai uski hi bhakti hai, bhakton
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)

Ye kaaya hai maaya, sabhi jhoothe bandhan
Unhi ki sharan mein mukti hai, bhakton

Ye tere, ye mera, ghana hai andhera
Ye tere, ye mera, ghana hai andhera
Chalo gyaan, shradha ke deepak jalaayein

(Bolo, "Shree Ram ki jai")
(Bolo, "Shree Ram ki jai")

Ghani dhoop mein bhi woh karte hain chhaya
Dukhon ki nadi ka wahi hain kinaara
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)

Prabhu naam ka dhan jinhon ne hai paaya
Hai paaon mein unke zamaana ye saara

Nahi dikhte humko prabhu jiske kaaran
Nahi dikhte humko prabhu jiske kaaran
Wahi dhundh aankhon se apne hataayein

(Bolo, "Shree Ram ki jai")
(Bolo, "Shree Ram ki jai")

Ghati jaa rahi hai re pal-pal umariya
Hui jaa rahi hai re maili chunariya
("Shree Ramchandra ki jai," bolo)

Ye swaanson ki gathri luti jaa rahi hai
Kahaan ant hai, ye nahi hai khabariya

Virati jaga kar, bharam sab mita kar
Virati jaga kar, bharam sab mita kar
Sabhi kuch bhulakar bhajan unke gaayein

Bolo, "Ramchandra ki jai"
Bolo, "Ramchandra ki jai"

Chalo Bajrangi ke charnon mein jaakar
Ram ramaiya ki dhooni ramaayein
Kare unka simran, safal ho ye jeevan
Raag, dwesh sab man se bhulaayein

(Bolo re, "Shree Ramchandra ki jai," bolo}
(Bolo re, "Shree Ramchandra ki jai," bolo}
(Bolo re, "Shree Ramchandra ki jai," bolo}



Credits
Writer(s): Dilip Sen-sameer Sen, Abhilash
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link