Na Janay

NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi
NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi
NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi

Bachpan ka dor tha or sath pareshani nahi thi
Bachpan ka bachpana tha beeti koi kahani nahi thi
Pehle ka dor tha dilo main thi khofe khuda
Dilon main ab tum janko milega khuda he nahi
Yahan pay bhai bhai aik doje say anjanay banay
Rishtey bus naam kay mun pay yeh dikahway kary
Zamana jali or reet is duniya ki
Mun pay yeh karty sog or peet peechay batay karay
Naya dor dilon main bhari hasadain
Chehre pay noor dilon main bhari nafratain
Dilon kay haal janta he mera rab
Paraya kon or jo sath kya yeh apnay hn
Apne hn name k par apna pan he dikhta nai
Apne nai sikhte sb warna koi sikhta nai
Mene ye dunya dari dekhi he boht pas se
Warna kbi Bhi me aise gane likhta nai
Jisam hn zinda par rooh sb ki mar gai he
Dilo me zehar, aur munafiqat ubhar gai he
Zameer marchuka, ahsas khatam hochuka he
Insaniat mar chuki insan khud gharz hochuka he
Insaniat pe uthy kudrat k sawal hy
Dunya me jo hora who hmare hi ammal hn
Insaan hewaan banchuka kudrat b naraz he
Kudrat ki lathi jo he beshak be awaz he

NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi
NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi
NA janay kis rah chal parhe
Janay kyun Be khauf chal rahi

Lagta hay dhar k may bhi 1 insaan hoon
Haiwaniyat say bhara jaisay k may koi shaitaan hoon
Manzil koi or may jaa raha ghalat rastay pay
Gunaah hain sar pay apni manzi say anjaan hoon
Zamana jaali or ismay kaheen kirdaar hain
Zinda misaal mere apnay rishtaydaar hain
Chehroon say apnay par diloon may bhari khaar hay
Mujhsay hay nafrat sabh ko mujhay sabhsay piyaar hay
Hum aulad-e-adam phir dilon may Q shaitaan hay
Ghareeb idhar anjaan ameeron ka bara naam hay
Q karkay saray gunaah yun banjata nadaan hay
Aglay pal ki khabar nahi Q karta fiqar-e-shaam hay
Kaheega kiya zamana essi baat ka to dhar hay
Focus kartay zamanay pay par zindagi to blur hay
Dekhain mithaas duniya ki ye nahi hay pata
K hay hona kiya qabar may or kiya haal hoga hashar may
Mujhay dikhay ziyada anjaan or bohot kam dikhain insaan
Roti paisay ki lalach nay kardiya hay sabhko haiwaan
Nahi hay koi bhi nishaan kon hindu idhar
Kon musalmaan mazhab dekhlena baad may awwal banjao insaan
Tumhay roti bhi mil jaigi daulat bhi miljaigi
Izzat bhi mil jaigi nahi milaygi to bass rab ki raza
Or raza nahi mili to phir mumkin hay saza
Q k duniya k liyee ibadat ki hay humnay kaza



Credits
Writer(s): Faisal Sultan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link