Ye Insaan

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?

Insaan hai samasya, cheeni kayi saans hai
Sach nhi awaaz koi, jhooti sabki baatein
Choti sabki soch, sabki neeyat mein hai khot
Jurm kare roz fir kyu ye kaala coat?
Gala ghot de ye bhai ka
Sirf dekhe khud ka faayeda
Doodh se naa dhula koi
Kachari fir ye kaahe ka
Gun taan seene pe, kudrat hai khilaaf ab
Jaati abhi kalyug, khade aage bhairav
Bhay rakh manushya, milna karmo ka dand ab
Kaate hain maasoomo ko, dekh prakriti ka tandav
Maare khud ke bhaaiyo ko, naam diya dharam jaat
Bekasur hai sulhi par, zara si to sharam paal
Talaashta insaaniyat par hui wo vilupt
Phone tere haath mein hai jisme Tu giraft
Nirdosh hai wo praani jinka karta tu shikaar
Mitani nahi bhook, tujhe karna hai vyapaar

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?

Tu chalaaye jail nirdosh jisme kaidi hai
Zoo ka diya naam, hota dard peeche barricade
Pashuon ki door, Tu to khanjar bhonke apno mein
Kare realise tere bhai jab jaaye kabro mein
Zinda mandir masjid aaj insaaniyat ko chodd
Roz lade log aur shok mane roz
Vote bas ek dhong, nirdosh ko hai chot
Sabhi yahan bhai par kyu hote maut roz?
Zakhmein hai kayi par marham lagaaye kaun?
Maare gaye kayi par insaaf dilaaye kaun?
Tabaah hai aaj qaum kyunki roz aaye rape case
Dand kisi aur ko faraar hai par rapist
Pakshpaat har kendra mein to lage safe naa raasta
Aankhon par hai patti, ainak sarkaar ka saaf
Dainik hai yeh bhaskar par roshni naa unatti ki
Haath mein bhavishya par pakde hum to mombatti sirf

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?

Kaisa ye insaan hai?
Kyu lage ye beimaan hai?
Lage ye bekaar hai
Kaisa ye insaan hai?



Credits
Writer(s): Knight Mayor
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link