Haare Na Ho Tum

Jese patjhad me joh patte sukh ke gidd pade
Jese rait ke ghar samandar ke paani se dhulgaye
Inhe dekh ke main bas sochu
Kuch bhi nahi hai sahi
Joh bhi cheez hume hai milti woh zyada kyu tikti nahi?
Sirf meri soch nahi, mujhko bhi badaldo kabhi
Kabhi kabhi lagta mujhko ki dukh ka koi matlab nahi
Thoda tum dhyaan se socho
Galti yeh mene bhi kari
Chahata sab hojaye khatam par koi yeh faisla nahi

Haare na ho tum
Bas maani tumne haar hai
Darte ho kyu?
Pucho khud se sawaal yeh
Haare ho na tum
Bas maani tumne haar hai
Koshish bas karni ek aur baar hai
Haare ho na tum
Bas chhodi hai tumne aas
Haare na ho tum
Maanoge kab tum yeh baat?
(Maanoge kab tum yeh baat?)

Joh patte sukh gaye the
Phirse woh khil hai jaye
Jese rangeen yeh aasman bhi toh kehlaye
Joh rait ka ghar hai yu dhulgaya
Badi na hai koi baat
Koi aur phir aake baad me
Dega uss ghar ko bana!!

Haare na ho tum
Bas maani tumne haar hai
Darte ho kyu?
Pucho khud se sawaal yeh
Haare ho na tum
Bas maani tumne haar hai
Koshish bas karni ek aur baar hai
Haare ho na tum
Chhodi hai bas tumne aas
Haare na ho tum
Maanoge kab tum yeh baat?

Haare na ho tum bas
Maani tumne haar hai
Haare na ho tum bas
Bas chhodi hai tumne aas!!



Credits
Writer(s): Akd Style
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link