Azaad

Khula aasmaan baatein hazaar
Bayaan karne ko hi Kehte kala
Toh Niyam se jakda mai Aakhir kyu
Azaadi sirf naam ki Baaki kyu
Abhivyakti ki saadhna ki bandish
Studio mai sur se taalo ki gardish
Ab bhule mehsoos ki takat ko
Kala se pyaar hai kore iss kagaz ko
Pehle han maine Likha un shabdon ko
Flow ko han chordo bas lafzo ko mat roko
Ab dekhe maine kala ke kanoon
Andhe wakeel hum gaanon mai khoon
Insaan ki rachna kala
vahi Niyam se ab duniya chala
Raha tasveer dikhai Azaadi ki baaghi
Badha hai zanjeeron mai vahi duniya ki
Azaad ye dil kabhi na
Chitra awaazon mai karna bayaan
Mitr hai soch han meri ab raat ki
Awaaz si gonji "Azaadi naa baap ki"
Kisaan vafadaar
Ram ke dar pe hi mathe ka bhaar
Sanchalak bana ya kaaalakaar?
Uss bache ka Chitra han Chikhe azaad
Guru ka sikha han mana Astya
Khud pe han bita aise hai ye shakshiyat
Kala ya kala ki khoj kiska bhar
Bhramit mai jaise hurriyat sarkar

Ab mai Bhatka kaha
Gaano mai galti aur Mehnat saza
Khud hi beddiyan jo daalu Pairon mai han
Phasa khud hi karigari khafa

Kyu
Dhua hi jote ka gaane banata hai

Kyu
Azaadi se tu ab bhi ghabrata hai
Kyu
nashe pe nirbhar kala
Guru ke naam pe Dandhe chala
Cover karke kalakaar bulata hai
Katputli tu sach ye mujhe tarsata hai



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link