Kathputli

Chala tha tu kiske saath
Bachpan vo aaj bhi khaas
Yaad vo baatein han Raaz chupaake
Andhere mai jhaake hum bhoot ka kaal
Phool ke jaise nadaan vo kaaton sey
Yaad vo din chale kahaani raaton mai
Kisse han aaj bhi Yaad jawaani barbad un haathon sey
School mai gaurav ek aam sa ladka
Na bhadka kissi pe saardharan charitra
Ab masti mazak uss Umar mai chalta tha
Shayad uske liye masti se badh kar tha
Chalta vyavhaar pohocha mai aathvi mai
Bezat harr din vo sirf chain tha ratri mai
Katputli sabki ye bikti bazaar mai
Kyu khele iske hum roz jazbaat sey
Subah jab pohoche hum school
Izzat na zillat bas kapde mai lipti hai dhool
Jitni nafrat koi karta Tujhse
Ussey zyada betha vo kar raha khudse
Apne mazze ke liye bana khilona
Sabke jaisa phir bhi han sabka tu ho na
Kho na sapne mai teri chitthi hai Raaz
Pitna toh roz ab aam si baat

Unko han kaisa guroor ab kyu
Aadhe bhi Tujhse han baage ab dur
Aadhe tadpaate hai khob
Aadi ab zillat ki rooh chupaati aansu
Taaku vishwaas ab kaha se baatu
Mai tujhko vishwaas ab kaha se laadu
Ki koi toh paas, badal se tere jazbaat
Bas fatte toh bhaari barsat
Katputli ghume ishaare pe
Parchai mai aansu chup jaate the
Ruk jaate kaash vo dosh nadaani ka
Jhalakta charitra sabki manmaani ka
Ab badhi Umar aur pohoche hum dasvi mai
16 saal purana khilona vo sabka
Han gaurav ka shayad hi koi
Afsoos Usne Chori ki aadat piroyi
Roz maine dekha vo kuch churata tha
Deta ladko ko badle mai paata kya
Chand minute ka vo Acha bartaav
Bhul jaata Katputli ki bandish taar

Ab tak tamasha kyu sehta tha mai?
Kya karra dekh ke kuch kehta na mai
Ab tak tha chup ab kyu baaghi sa mai?
Kya bolu gunhegaaro ka Saathi mai

Ab batau kya apni kahani
Kayar ab nazaro mai kaisi jawaani?
Laani thi Himmat vo ab tak kaha thi
Kaha ni Raaz ab raha ni kayar mijaz
Aaj bhi din vo hai Yaad
Waapis ghar lauta tha pitne ke baad
Dhol mai lipta maa puche sawaal
Ghav aur aansu chupata har baar
Ab laal vo Gaal roz aam si baat
Chote bhai ki bhi nazro mai sawaal
Bhai ko Pitta han dekhe vo roz
Maa ko kya bolu han beta kamzor?
Qaabil na khud ko han samjha kabhi
Aatma samaan han gaya sabhi
Unhe khelne ka shawk ab kaise ye daur
Mai bana khilona ek aur
Kash gharwaalon ne jaana hota sach
Kambhatk Samaaj masoom ka rakht
Kismat ka dosh ya karamo ka bhakt

Bana vo khilona koi daam nahi
Tanha sochu insaaf ka daam kahin
Muft mai Bika 10 saal se roz
Halaat dekhe lage mujhe raam nahi

Ant insaan ka hota hai kab?
Mai kaha tak bhaagu yahi mera sach
Mere saath ke hai iss han Gunah mai shaamil
Ab kehta hu mai ye han izzat ke kaatil
Maa ke sawaalo ka naa hai jawaab
Baap kya sochega han Pitta chiraag
Bhai ki nazaron mai sharam hai dekhi
Meri nazar girati mera samaan

Fatte vo kapde the jeevan ke lafde
Dhul sa basta kaise vo ladke the
Gharwaale puche sawaal harr roz
Kya bolu Maa tera beta kamzor



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link